Meri Aankhon Ki Taraf Dekh Meri Bat Samajh
Mujh Se Naraz Na Ho, Tu Mere Halaat Samajh
Meri Khuwaahish Hai Terey Marmaree'n Rukhsaaron ko
Main Har Ek Lamha Nigaahon Mein Samaaye Rakhon
Teri Aankhen Meri Aankhon k Maqaabil hi Rahein
Main Teri Maang Sitaaron se Sajaaye Rakhon
Tujh Se Gham Le k Tujhe De Doon Khushi ki Daulat
Terey Hoonton ko Jila Bakhshey Tabassum Tera
Khoob-Soorat Ho Teri Tarah Meri koi Ghazal
Merey Ash'aar ko Mil Jaaye Tarannum Tera
Jaanay kiyon phir Mujhe Duniya ka Khayaal Aata Hai
Jis Mein Farsooda Rawaayaat ki Zanjeeren hain
Jisam Aazaad Hain Ham Sab k Ba-Zaahir,Lekin
Qaid Mein Siskiyaan Leti Huwi Taqdeeren Hain
Tu Hai Masoom, Na Samjhe Gi Zamaaney ka Chalan
Tujh ko Maloom Nahi Hain Yahaan Waalon k Rawaaj
Main Bataata Hoon Tujhe, Mujh Se Dam-e-Aakhir tak
Tujh Ko Milne Nahi De Ga ye Zamaana ye Samaaj
Is Liye Mujh ko Bhula De Yahi Behtar Hoga
Warna Tere Liye Andesha-e-Ruswaai Hai
Ye Alag Baat Rahoon Ga Main Sukoon se Mahroom
Main Ne Khud Apney Kiye Ki Ye Sazaa Paayi Hai
No comments:
Post a Comment