Wo Azam Ho K Manzil-e-Baidaar Hans Parray
Har Naqsh-e-Paa Pe Jurat-e-Rahwaar Hans Parray
Ab K Baras Bahaar Ki Soorat Badal Gayi
Zakhmoon Main Aag Lag Gayi Gulzaar Hans Parray
Us Dastaan-e-Dard Ki Tuhmeed Aap Hain
Jis Dastaan-e-Dard Par Ghum-Khuwaar Hans Parray
Hairaan Ho Rahi Hai Shagofay Pe Chaandni
Shaayad Qafas Pe Aaj Giraftaar Hans Parray
Laut Jaaye Teray Naam Se Har Talkhi-e-Jafa
Wo Kaam Kar K Har Bekas-e-Nadaar Hans Parray
Meray Junnon Ne Aaj Wo Sajdaa Adaa Kiya
Butt Khaana-e-Hayaat K Aasaar Hans Parray
Phir Shadmaan Huwe Hain Kharabe Hayat K
Saghar Kisi K Gayso-e-Khamdaar Hans Parray
No comments:
Post a Comment