Sunday, 13 April 2014

Pehlu-e-Shah men ye Dukhtar-e-Jamhur ki qabar, Kitne ghum gushta fasanon ka pata deti hai, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Pehlu-e-Shah men ye Dukhtar-e-Jamhur ki qabar
Kitne ghum gushta fasanon ka pata deti hai, 

Kitne khoon raiz haqaiq se uthati hai naqab 
Kitni kuchli hui janon ka pata deti hai, 

Kese maghroor shahanshahon ki tasken k liye 
Saal ha saal hasinon kay bazar lage, 

Kese behki hoi nazron ki taish ke liye 
Surkh mehlon mai javan jismon kay anbar lage, 

Sehmi sehmi si fizaon mein ye viraan marqad 
Itnaa khamosh hai fariyad kunaa ho jese, 

Sard shakhon men hava cheekh rahi hai aise 
Rooh-e-Taqdees-o-Wafa marsiyaa khvan ho jaise, 

Tu meri jaan Hairat-o-Hasarat se na dekh 
Hum mein koi bhi jahan Noor-o-Jahangir nahi, 

Tu mujhe chor kay thukra kay bhi jaa sakti hai 
Tere hathon mein mera haath hai zanjeer nahi...

No comments: