Sunday, 20 April 2014

Apni Meyaad-e-Gham Mein Main Jang-e-Saleeb Tha, Jo Baa-Muraad Hunar Tha Tera Naseeb Tha, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Apni Meyaad-e-Gham Mein Main Jang-e-Saleeb Tha 
Jo Baa-Muraad Hunar Tha Tera Naseeb Tha 


Shehnaiyon Mein Goonjti Thi Qatal Ki Rasm 
Qaatil Bhi Ek Shah Tha Raag Se Qareeb Tha 

Uzar Ka Izraeel Pe Har'Chand Asar Nahi 
Malmal ka Nok-e-Khaar Pe Manzar Ajeeb Tha 

Charaah-Gari Bhi AsaL Mein Do Chaar Baras Hai 
LUQMAN Bhi To Mar Gaya Jo Ik Tabeeb Tha 

Sau Chaand Raaten Le Gaya Kal Shab Ka Raat'Jaga 
Mehfil Thi, Zafraan Tha, Mera Habeeb Tha 

KhaamOsh Rida Orhh Li Nadim Zameer Ne 
Bus Naara-e-Takbeer Tha Jab Dil Khateeb Tha 

Mera Hisaab Le Liya To Khud Bhi Ro Parra 
Wo Hasb-e-Haal Ho Gaya Jo Khud Haseeb Tha 

Dhairon Duaaen De K Bhi Takka Na Mil Saka 
Faqeer Roz-e-Eid Bhi Kitna Ghareeb Tha 

Firdaus Mein Bhi Shola-e-Hasad Nahi Bujha 
Sardar Wahaan Saathiyon Ka Khud Raqeeb Tha 

saqi Bata! Dilon Ko Kese Loot Le Gaya? 
Jo Chor Tha, Na Thagg Tha, Na Naqeeb Tha

No comments: