Wednesday, 9 April 2014

Dekh kar hum ko jo shaad hua karte hain, Sirf wo apne he ehbaab hua karte hain, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,

Dekh kar hum ko jo shaad hua karte hain
Sirf wo apne he ehbaab hua karte hain

دیکھ کر ہم کو جو شاد ہُوا کرتے ہیں 
صِر ف وہ اپنے ہی احباب ہوا کرتے ہیں

Aey ghata baad-e-Saba, shokh Hawa, Chanchal see
Baagh mai jane ke adaab hua karte hain

اے گھٹا بادِ صبا ، شوخ ہوا ، چنچل سی
باغ میں جانے کے آداب ہوُا کرتے ہیں 

Jo Nazar atay hain khamosh tabiyat hum ko
inke andar kai selaab hua karte hain

جو نظر آتے ہیں خاموش طبیعت ہم کو 
ان کے اندر کئی سیلاب ہوُا کرتے ہیں 

Sirf chehre se ayaan hote nahi dil ke raaz
ek risale mai kai baab hua karte hain

صِرف چہرے سے عیاں ہوتے نہیں دِل کے راز
اِک رسالے میں کئی باب ہُوا کرتے ہیں 

Jo har baat mai ye takabbur, ye gharoor
Sirf barbadi ke asbaab hua karte hain

جو ہر بات میں جو یہ تکبر ، یہ غرور 
صِرف بربادی کے اسباب ہُوا کرتے ہیں 

No comments: