Khizaan Naseeb Mein Rishta Magar Bahaar Se Bhi
Mujhe To Gul Ki Tawaqu Hai Nok-e-Khaar Se Bhi
Muysir Hoon Main K Gina Jaon Ba-Waqaron Mein
Unhen Ye Zid K Main Kharij Rahon Shumaar Se Bhi
Jahan B Jaon Aseer-e-Hayaat Rehta Hoon
Ye Masla To Na Hal Ho Saka Faraar Se Bhi
Sahar Ki Kitni Duaen Khuda Se Maangi Hain
Ab Iltemaas Karonga Jamaal-e-Yaar Se Bhi
Ajeeb Hashr-e-Muhabat Ka Saamna Hai K Wo
Khafa Khafa Hai Magar Daikhta Hai Piyaar Se Bhi
Main Mar Bhi Jaon To Takhliq Se Na Baaz Aaon
Banaen Ge Nit-Naye Khaakey Meray Ghubar Se Bhi
NADEEM Waqt Ka Marham Na Mery Kaam Aaya
K Zakham-e-Dil Na Bhara Tool-e-Intzaar Se Bhi
No comments:
Post a Comment