Tar Huwe Ashkon Se Raton k Andheray Kitnay
Hijar k Nohay Banay, Bin Teray Sehray Kitnay
Meri Aamad Ki Khabar Sun k Guzar-Gaahon Par
Haakim-e-Shehar Ne Lagwaaye Hain Pehray Kitnay
Tujh Se Mil Paaon Ga Mumkin Nahi Lagta Ay Dost!
Khuwaab Reh Jaayen Ge Phir Mere Adhooray Kitnay
Baat Jab Phaili Chaman Mein Teri Angrraai Ki
Dekhne Tujh ko Chale Aaye Sapairay Kitnay
Tere Kis Roop ko Main Apna Muqadar Samjhon
TU Ne Ay Dost ! Bana Rakhe Hain Chehray Kitnay
Achay Waqton Mein Bahut Log Thay Meray Hamraah
Kiya Bataaon, Buray Haalat Mein Thehray Kitnay
Dekhnay Se Jo Nazar Aatay Hain Seedhay Saaday
Kis Ko Maaloom, Wo Dar-Asal Hain Gehray Kitnay
Tujh ko Maaloom Hai Ye Bazm-e-Sukhan Mein Teri
Meray Aanay Se Badal Jayen Ge Chehray Kitnay
Aao Ab Pooch Hi Len Shehar k Naqadon Se
Rang Ye Main Ne Hain Bikhairay Kitnay
No comments:
Post a Comment