Monday, 12 May 2014

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry, dedicated to Sanam jung


Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain 
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain 


Suna hai rabt hai us ko kharab halon se 
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain 


Suna hai dard ki gahak hain chashm-e-nazuk us ki 
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain 


Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shaga 
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain 


Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain 
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain 


Suna hai raat use chand takta rehta hai 
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain 


Suna hai hashAr hain us ki ghazaal si aankhain 
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain 


Suna hai din ko usay titliyan satati hain 
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain 


Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki 
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain 


Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai 
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain

No comments: