Hunar Mandi To Pathar Mein Bhi Gohar Dhoond Leti Hai
Hamari Piyas Sehra MEIN SAMANDAR DHOONDH LETI HAI
MOHABBAT JAB SHAHENSHAHON K MAHLON SE NIKALTI HAI
KOI DARWESH YA KOI QALANDAR DHOONDH LETI HAI
GULAABON KO TA'AARUF KI ZAROORAT HI NAHI HOTI
HAMAARI FIKAR KHUD LAFZON KA PAIKAR DHOONDH LETI HAI
AGAR-CHE ISHQ KA FAN HO TO KUCH BHI AIN-MUMKIN HAI
MOHABBAT DASHT MEIN RANGEEN MANZAR DHOONDH LETI HAI
NIGAAHON MEIN TALAB K SAATH JO TAASEER AA JAAYE
CHARAAGHON MEIN ZIYA-e-MAAH-o-AKHTAR DHOONDH LETI HAI
HUWA HOON MOTABAR JAB SE TIRI BAZM-e-MOHABBAT MEIN
JAHAAN JAATA HOON WEERAANI MIRA GHAR DHOONDH LETI HAI
ZEHAANAT KO JO MIL JAAYE RAH-NUMAAI TO
BULANDI PAR PAHONCHNE K LIYE PAR DHOONDH LETI HAI
No comments:
Post a Comment