Yaad-e-Maazi Kat gaya wo waqt bhi dhal gai wo raat bhi Aaj wo hain ajnabi jin se tha humko kaam bhi, Urdu sad poetry, heart touching poetry by khizar hayat
Yaad-e-Maazi
Kat gaya wo waqt bhi dhal gai wo raat bhi
Aaj wo hain ajnabi jin se tha humko kaam bhi
Sher ka unwaan wo, har satar ka raaz wo
Mit gaya wo harf bhi rootha raha wo pyaar bhi
ab to be rabti ka ye alam hai na he pouchiye
Lut gaya wo karwaan jis pe tha hum ko naaz bhi
ek dorahay pe aa ke ye musafat bhi khatam
Aqle madi ne kaha manogay naa tum haar bhi
Yad E Maazi kar rahi hai reza reza ab mujhe
Kash mil jata khizar ko bawafa ek yaar bhi
No comments:
Post a Comment