Hawa Ke Zor Se Pindaar-E-Baam-O-Daar Bhi Gaya
Chiraag Ko Jo Bachaate The Un Ka Ghar Bhi Gaya
Pukaarte Rahe Mahfooz Kishtiyon Waale
Main Doobata Hua Dariya Ke Paar Utar Bhi Gaya
Ab Ehatiyaat Ki Diwaar Kya Uthaate Ho
Jo Chor Dil Main Chupa Tha Wo Kaam Kar Bhi Gaya
Main Chup Raha Ki Is Main Thi Aafiyat Jaan Ki
Koi To Meri Tarah Tha Jo Daar Par Bhi Gaya
Sulagte Sochte Viraan Mausamon Ki Tarah
Kadaa Tha Ahad-E-Jawani Magar Guzar Bhi Gaya
Jise Bhoola Na Saka Us Ko Yaad Kya Rakhta
Jo Naam Dil Main Raha Zehan Se Utar Bhi Gaya
Phati-Phati Hui Aankhon Se Yoon Na Dekh Mujhe
Tujhe Talaash Hai Jis Ki Wo Shakhs Mar Bhi Gaya
Magar Falak Ki Adaawat Usi Ke Ghar Se Na Thi
Jahaan ‘Faraz’ Na Tha Sail-E-Gam Udhar Bhi Gaya
No comments:
Post a Comment