Aj kuch suno mujh se ke dil ki halat ajeeb hai.
Ghamgeen hai tabiyat Rang-e-Chahat ajeeb hai.
Us ki baten us ki ankhain badal rahi hain.
Lag raha hai Shab-e-Hijar qareeb hai.
Tor kar qasmen wo badal raha hai nigahain.
Mein samajh gaya ab us ke pas raqeeb hai.
Bhula kar mujhe ab rehta hai wo khush.
Or mujhe wo marz diya jis ka na koi tabeeb hai.
Musalsal mere dil pe Gham-e-Yaar ke sitam hain.
Yon lagta hai "Mohsin" ke ab meri mout qareeb hai
No comments:
Post a Comment