Ab bhalaa chhor ke ghar kya karte
shaam ke vaqt safar kya karte
terii masruufiyaten jaante thay
apne aane kii Khabar kya karte
jab sitaare hii nahiiN mil paaye
le ke ham shams-o-qamar kya karte
vo musaafir hii khulii dhoop ka tha
saaye phailaa ke shajar kya karte
Khaak hii avval-o-aakhir thahrii
kar ke zarre ko gauhar kya karte
raaye pehle se hii banaa lii tuune
dil mai ab ham tere ghar kya karte
ishq ne saare saliiqe bakhshe
husn se kasb-e-hunar kya karte
No comments:
Post a Comment