Saturday, 30 November 2013

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jaane Mere, Tu Kahaan Hai Magar Ai Dost Puraane Mere, Ahmed Faraz Poetry, Ahmed Faraz Ghazal, Ahmed Faraz Shairi


Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Jaane Mere
Tu Kahaan Hai Magar Ai Dost Puraane Mere

Tu Bhi Khushboo Hai Magar Mera Tajassus Bekaar
Barq-E-Aawara Ki Maanind Thikhaane Mere

Shama Ki Lau Thi Ke Wo Tu Tha Magar Hijr Ki Raat
Der Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere

Khalq Ki Bekhabari Hai Ke Meri Ruswaai
Log Mujh Ko Hi Sunaate Hain Fasaane Mere

Lut Ke Bhi Khush Hoon Ke Ashkon Se Bhara Hai Daaman
Dekh Gaarat Gare Dil Ye Bhi Khazaane Mere

Aaj Ik Aur Baras Bit Gaya Us Ke Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote The Zamaane Mere

Kaash Tu Bhi Meri Aawaz Sunata Ho
Phir Pukaare Hai Tujhe Dil Ki Sada Ne Mere

Kaash Tu Bhi Kabhi Aa Jaye Masihaai Ko
Log Aate Hain Bahut Dil Ko Dukhaane Mere

Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Kah Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere

Tu Hai Kis Haal Main Ai Zood Faraamosh Mere
Mujh Ko To Chin Liya Ahad-E-Wafa Ne Mere

Chaaragar Yun To Bahut Hain Magar Ai Jaan-E-’Faraz’
Juz Tere Aur Koi Gam Na Jaane Mere

No comments: