Thursday 14 November 2013

Roshni mizajon ka kia ajab muqaddar hai, Amjad Islam Amjad, Heart Touching Poetry, Images Poetry, Sad Poetry, Poetry with Images, Urdu Heart Touching Poetry,


Roshni mizajon ka kia ajab muqaddar hai
zindagi k rastay mai, bichnay waly kanton ko
rah se hatanay main
aik aik tinkay say, aashiaan bananay main
khushbuaain pakarnay main, gulistaan sajanay main
umr kaat detay hain
umr kaat detay hain
or apne hissay k phool baant detay hain

kesi kesi khwahish ko, qatl kartay jatay hain
umeed k gulistan main abar ban k rehtay hain
sabar k samandar mai kishtiyaan chalatay hain
yeh nahi k inko iss, roz-o-shab ki khahish ka
kuch sila nahi milta
marne wali aason ka,
khoon baha nahi milta

zindagi ke daman mai jis qadar bhi khushiyan hain
sab hi haath aati hain
sab hi mil bhi jati hain
waqt per nahi aateen
waqt per nahi milteen
yani unko mehnat ka,
ajar mil tu jata hai
lekin is tarha jesay
qarz ki raqam koi, qist qist ho jaiy
asal jo ibaarat ho, pass-e-nawisht ho jaiy
fasl-e-gul ke aakhir mai phool inkay khiltay hain
inkay sehen mai sooraj der say nikaltay hain

                                                                                        A Poem by: Amjad Islam Amjad

No comments: