Sunday, 17 November 2013

Hawa-e-tez pay ilzaam dhar kay dekhtay hain, December Poetry, Urud Poetry, Urdu Heart Touching Poetry,


Hawa-e-tez pay ilzaam dhar kay dekhtay hain
Kaho tou doob k aur phir ubhar k dekhtay hain

Kay jis k pyar k aankhon main deep roshan hain
Usi ki yaad main phir aankh bhar k dekhtay hain

Wo jis k naam se rukti hain dhadkanain dil ki
Phir us k dil main chalo hum utar k dekhtay hain

Kay jo hai saadgi -e-husn ka hasee'n pekar
Bhala kiun log usay ban sanwar k dekhtay hain

Tumhain jo shauq hai marnay ka is qadar jaana'n
Tumharay saath chalo hum bhi mar k dekhtay hain

Bohut hai pyaar na tum ko junoo'n k maaro'n say
Tou dil ko todh k ,phir khud bikhar k dekhtay hain

Gila hai hum say zamanay ko kiun bhala Neha
Har aik pal tou sitaray safar kay dekhtay hain

No comments: