Majnoon nay sheher chora, tu Sehraa bhi chor day
Nizaray ki hawiis ho tu Laila bhi chor day
Wa'az! kamal-e-tarq se milti hai yaan muraad
Duniya jo chor dii hai to uqbaa bhi chor day
Taqleed ki rawish se tu behtar hai Khud-Kushi
Rasta bhi dhoond, Hiz'r ka soda bhi chor day
Mannand-e-Khama Teri zuban per hai harf-e-gair
Begana Shay pe Nazish-e-Bejaa bhi chor day
Lutaf-e-Qalaam kya je naa ho dil mein DARD-e-ISHQ
Bismil nahe hai tu to Tarapna bhi chor day
Shabnam ki tarah pholoon pe ro, aur chaman se Chal
Iss Baagh mein Qyaam ka soda bhi chor day
Acha hai dil kay pass rahay pasbanay Aqal
Lakin kabhi kabhi issay tanha bhi chor day
Hai Ashiquee mein rasam alag sab se bethna
Buut-Khana bhi, Haram bhi, Kaleesa bhi chor day