Tuesday, 29 April 2014

Ghafil teri yaadon se howa main to nahi tha, Tu tha hi Juda, tujh se Juda main to nahi tha, by Faiz Ahmed Faiz


Ghafil teri yaadon se howa main to nahi tha... 
Tu tha hi Juda, tujh se Juda main to nahi tha


Ja tu meri guftar k Qabil hi nahi hai, 
Ye lafz kabhi keh k gya main to nahi tha 

Besakhta ghabra k pukara tha kisi ko, 
Socho tere honton ki sada main to nahi tha

Koi to mere Jurm ki tafseel bata de, 
Aay 'faiz' tere haq mein bura main to nahi tha...

Aey Rab tu faqat ik enayat karta, to dard hamara pyambar na hota, Sad Poetry, Images Poetry,


Aey Rab tu faqat ik enayat karta, 
to dard hamara pyambar na hota, 


ya ham itne hassas na hote, 
ya zamana itna sitam gar na hota.

Suno, Hum naraaz hain tum se, Bohat naraaz hain tum se, Urdu Image Poetry, Ghazal collection


Suno.....
Hum naraaz hain tum se,
Bohat naraaz hain tum se,


Bohat majboor ho na tum,
Bohat masroof ho na tum,

Hamein to yaad karne ka,
Waqt barbaad karne ka,

Tumhein to waqt hi kab hai...
Na tum ko yaad aatay hain,

Tumhein na hum satatay hain,
Par ab to maaf karna tum,

Hamein na yaad karna tum,
Tumhein na yaad aayen ge,

Na tum ko yoon satayen ge,
Phir jab tum hum ko bulaao ge,

Hum se jab milnay aao ge,
To hum bhi tum ko bta denge,

Bohat majboor hain hum bhi,
Bohat majboor hain hum bhi,

Hamein bhi kaam hain kitne,
Hamein na hi bulaao tum,

Na hum ko yaad aao tum,
K hum naraaz hain tum se,

Bohat naraaz hain tum se.....
Bohat naraaz hain tum se!!!

Monday, 28 April 2014

Aey kaash k aisa ho jaye, Jise chaha tum ne har lamha, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Aey kaash k aisa ho jaye 
Jise chaha tum ne har lamha 


Jise socha tum ne har lamha 
Wo shakhs tmhara ho jaye 

tum jis se mohabbat karte ho 
Jise dekh k jite marte ho 

Jise kho dene se darte ho 
Wo shakhs tumhara ho jaye 

Wo jis ki yadon main kho kar 
tum waqt guzara karte ho 

Wo jis ki baton main kho kar 
Khud se b kinara karte ho 

In tanha tanha raaton main 
tum jis ko pukara karte ho 

Wo shakhs Tumhara ho jaye 
A kaash k aisa ho jaye.

Sunday, 27 April 2014

Meri Aankhon Ki Taraf Dekh Meri Bat Samajh, Mujh Se Naraz Na Ho, Tu Mere Halaat Samajh, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Meri Aankhon Ki Taraf Dekh Meri Bat Samajh
Mujh Se Naraz Na Ho, Tu Mere Halaat Samajh 


Meri Khuwaahish Hai Terey Marmaree'n Rukhsaaron ko 
Main Har Ek Lamha Nigaahon Mein Samaaye Rakhon

Teri Aankhen Meri Aankhon k Maqaabil hi Rahein 
Main Teri Maang Sitaaron se Sajaaye Rakhon

Tujh Se Gham Le k Tujhe De Doon Khushi ki Daulat
Terey Hoonton ko Jila Bakhshey Tabassum Tera

Khoob-Soorat Ho Teri Tarah Meri koi Ghazal 
Merey Ash'aar ko Mil Jaaye Tarannum Tera

Jaanay kiyon phir Mujhe Duniya ka Khayaal Aata Hai 
Jis Mein Farsooda Rawaayaat ki Zanjeeren hain 

Jisam Aazaad Hain Ham Sab k Ba-Zaahir,Lekin 
Qaid Mein Siskiyaan Leti Huwi Taqdeeren Hain 

Tu Hai Masoom, Na Samjhe Gi Zamaaney ka Chalan 
Tujh ko Maloom Nahi Hain Yahaan Waalon k Rawaaj 

Main Bataata Hoon Tujhe, Mujh Se Dam-e-Aakhir tak 
Tujh Ko Milne Nahi De Ga ye Zamaana ye Samaaj

Is Liye Mujh ko Bhula De Yahi Behtar Hoga
Warna Tere Liye Andesha-e-Ruswaai Hai 

Ye Alag Baat Rahoon Ga Main Sukoon se Mahroom
Main Ne Khud Apney Kiye Ki Ye Sazaa Paayi Hai

Bohat der kar di tum ne muhabbat ka izhaar karne mai, Mujhe pane me mujhe se pyar karne mai, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Bohat der kar di tum ne muhabbat ka izhaar karne mai
Mujhe pane me mujhe se pyar karne mai 


Ab kuch nahi ho sakta Amaanat hon main kisi aur ki 
Guzar gya waqt kya rakha hai Ab intezar karne mai 

Mujhe tum se mohabbat hai Main ye iqrar nahi karon gi 
Kahin dil na toot jaye tumhara ye iqrar karne mai 

Tum mujhe bhool jao ye iltaja hai tum se meri
Zindagi youn barbad na karo Apni ashk baar karne mai 

Na karna tum mujhe yad na main yad karon gi
K bhut takleef hoti hai Yad kisi ko bar bar karne mai..

Saturday, 26 April 2014

Nahi Darta Main Kaanton Se, Magar Phoolon Se Darta Hoon, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Nahi Darta Main Kaanton Se,
Magar Phoolon Se Darta Hoon.


Chubhan De Jayen Jo Dil Ko,
Main Un Baaton Se Darta Hoon.

Mujhay To Neend Bhi Achi Nahi Lagti Haqiqat Mein, Dikhayen Khwab Jo Jhootay,
Main Un Neendon Se Darta Hoon.

Mana Ki Hoon Nahi Qayal,
Mohabbat Hai Mujhay Sab Se,

Jo Dil Main Dhokha Rakhtay Hain,
Main Un Apnon Se Darta Hoon.

Mujhay Ehsaas Hai Sab Ka,
Main Sab Ke Kaam Aata Hoon,

Magar Jo Kinara Rakhtay Hain,
Main Un Rishtoon Se Darta Hoon.

Main Banda Hoon Khuda Ka Aur
Khuda Ka Khouf Hai YARO,

Jo Dartay Hi Nahi RAB Se,
Main Un Bandon Se Darta Hoon..!!

Thursday, 24 April 2014

Wo Azam Ho K Manzil-e-Baidaar Hans Parray, Har Naqsh-e-Paa Pe Jurat-e-Rahwaar Hans Parray, Urdu Image Poetry, Ghazal collection


Wo Azam Ho K Manzil-e-Baidaar Hans Parray 
Har Naqsh-e-Paa Pe Jurat-e-Rahwaar Hans Parray 


Ab K Baras Bahaar Ki Soorat Badal Gayi 
Zakhmoon Main Aag Lag Gayi Gulzaar Hans Parray 

Us Dastaan-e-Dard Ki Tuhmeed Aap Hain 
Jis Dastaan-e-Dard Par Ghum-Khuwaar Hans Parray 

Hairaan Ho Rahi Hai Shagofay Pe Chaandni 
Shaayad Qafas Pe Aaj Giraftaar Hans Parray 

Laut Jaaye Teray Naam Se Har Talkhi-e-Jafa 
Wo Kaam Kar K Har Bekas-e-Nadaar Hans Parray 

Meray Junnon Ne Aaj Wo Sajdaa Adaa Kiya 
Butt Khaana-e-Hayaat K Aasaar Hans Parray 

Phir Shadmaan Huwe Hain Kharabe Hayat K 
Saghar Kisi K Gayso-e-Khamdaar Hans Parray

Zara see Dair ko Sab Kuch Bhula K Dekh Lety Hain, Tujhe Hum Samne Apne Bitha K Dekh Lety Hain,Urdu Image Poetry, Ghazal collection


Zara see Dair ko Sab Kuch Bhula K Dekh Lety Hain 
Tujhe Hum Samne Apne Bitha K Dekh Lety Hain 


Suna Hy Mad_Bhari Nazren Teri Peene Nahi Detin 
Ijazat Ho To Hum Nazren Mila K Dekh Lety Hen 

Wo Chehry Kesy Hoty Hain K Jin Se Chand Sharmaye 
Tery Rukh Se Siyah Zulfein Hata K Dekh Lety Hen 

Shama K Pas Ja K Kis Tarah Jaltay Hain Parwany 
Zara Hum B Tere Nazdeek Aa K Dekh Lety Hen 

Kahin Betaab Dil Ko is Tarah Se Chain Aa Jaye 
Teri Tasveer Ko Dil Se Laga K Dekh Lety Hen

Mujhe Ijazat De, Main Apne Honton Ki Be-Rang Roshni Se, Tere Labon Pe Mohabbat Ka Lafz Likhon Ga, Urdu Image Poetry, Ghazal collection


Mujhe Ijazat De
Main Apne Honton Ki Be-Rang Roshni Se,
Tere Labon Pe Mohabbat Ka Lafz Likhon Ga, 


Mujhe Ijazat De

Parrhi Hai Main Ne Tere Chashm-e-Nam Ki Tehreeren,
Tere Khamosh Labon Se Suni Hai Taqreeren,

Main Chaahta Hoon Mere Piyaar Ki Hararat Se,
Pighal k Mom Bane Tere Gham Ki Tehreeren,

Main Chaahta Hoon Ki Apni Nazar Mein Qaid Karon,
Tere Haseen Tabassum Ki Shaukh Tasveeren,

Main Chaahta Hoon K Meri Nazar K Boson Ki,
Gawahiyaan Tere Rukhsar-o-Lab Se Milne Lage,

Main Chaahta Hoon Ki Jab Main Teri Taraf Dekhoon,
To Mere Dil Me Shagufta Gulaab khilne Lage,

Hon Laakh Zehan Ka Aazaad Kiya Hai Mere Paas,
Siwaye Ek Dil-e-Barbaad, Kiya Hai Mere Paas,

Tujhe Sunaane Ko Rudaad Kiya Hai Mere Paas,
K Tujh Se ISHQ ki Buniyaad Kiya Hai Mere Paas,

K Mere Saath Koi Hum Mizaaj Bhi To Nahi,
K Dastaras Mein Meri Mera Aaj Bhi To Nahi,

K Mere Qabze Mein Mera Samaaj Bhi To Nahi,
K Mere Paas Koi Takht-o-Taj Bhi To Nahi,

Main Tujh Ko Maang Loon Aisa Riwaaj Bhi To Nahi,
Gila Nahi Hai Mohabbat Ki Na Rasaai Se,

Tujhe Bachaaon Ga Ilzaam-e-Be-Hayaai Se,
Main Larr Na Paaon Ga Itni Barri Khudai Se,

Main Tujh Ko Chaahon Ga Jazbon Ki Parsaai Se,
Main Apne Honton Ki Be-Rang Roshnaai Se,

Tere Labon Pe Mohabbat Ka Lafz Likhoon Ga,

Mujhe Ijazat De

Wednesday, 23 April 2014

Bhool jane Ki jo Ik Had Hoti Hai na, Us Had Ko Tum Choo Rahy Ho Sahib, Images Poetry, SMS Poetry


Bhool jane Ki jo Ik Had Hoti Hai na
Us Had Ko Tum Choo Rahy Ho Sahib

Kya Maloom K Saans Bhi Sath Degi, Teri Yadon Ko Dil Se Bhulane K Baad, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Kya Maloom K Saans Bhi Sath Degi 
Teri Yadon Ko Dil Se Bhulane K Baad 


Roz Aatay Ho Rulate Ho Chale Jate Ho 
Meri Palkon Me Ashk Sajane K Baad 

Khudi Btao Kya Mumkin Hai Bhool Jana 
Yad-E-Yar Ko DiL Me Basane K Baad 

Maaf Krna Majbor Hon Main 
Bhol JaonGa Tuj Ko Magar MAR Jane K Baad...

Tuesday, 22 April 2014

Aankh Se Lahu Na Bahaaya Kar, Aey Dil Usay Kabhi To Bhool Jaya Kar, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Aankh Se Lahu Na Bahaaya Kar, 
Aey Dil Usay Kabhi To Bhool Jaya Kar, 


Dekhna Wo Ek Din Tujhy Chorr Jaiy ga, 
Na Tu Usay itna Sataaya Kar, 

itna Aetbaar Bhi Acha Nahi Hota, 
Usay Har Ek Baat Na Bataya Kar, 

Shiddat-E-Gham Se Seena Phatt Jaiy ga, 
Aankh Se Kuch Aansu Bahaya Kar, 

Us Jesa Tujhy Kahin Mil Nahi Sakta, 
Hazaar Baar Roothy Hazaar Baar Manaya Kar

Teri Duniya se Sanam Laut k Aaon Kaise, Khud ko Main Yaad Nahi Tujh ko Bhulaaon Kaise, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Teri Duniya se Sanam Laut k Aaon Kaise 
Khud ko Main Yaad Nahi Tujh ko Bhulaaon Kaise 


Ab To Har Shakal Se Hai Soorat-e-Janaa'n Zaahir 
Har Taraf Aag hai Daaman ko Bachaaon Kaise 

Hussan Waala Bhi Khareedar-e-Zulekha Nikla 
Tujh ko Bazaar ka Dastoor Bataaon kaise 

Aa K Kar De Meri Tameer Nayi Phir Tu Hi 
Girti Deewaar Hoon Main khud ko Uthaaon Kaise 

Kiyon Milaayi Thi nazar mujh se Qayaamat Jaisi 
Mehshar-e-Dil Main Tujhe Aaj Dikhaaon Kaise 

Be-Khudi Par Tera Ehsaan Bahut hai Saqi 
TU Hi Ye Mujh Ko Bata Hosh Mein Aaon kaise 

Mere Har Shair Mein Posheeda Hai Us ki Soorat 
Ay Ghazal ! Rukh Se Tere Parda Uthaaon Kaise 

Shama Har Rang Mein Jalti Hai Saher Hone Tak 
Misra-e-Hazrat-e-Ghalib Ko Chupaaon Kaise

Hum Bhi Kuch Ashk Mohabbat Mein Bahaye Huway Hain, Ye Alag Baat k Ab Rah Pay Aaye Huway Hain, Sad Poetry, Images Poetry,


Hum Bhi Kuch Ashk Mohabbat Mein Bahaye Huway Hain
Ye Alag Baat k Ab Rah Pay Aaye Huway Hain


Us Say Izhar-e-Mohabbat Bhi karen Gay Ek Din 
Wesy Filhal To Khud Say Bhi Chhupaye Huway Hain 

Toh Mai Log Lagy Rehty Hain Hum Dono Ki 
Aur Deewar Nay Bhi kaan Lagaye Huway Hain 

Younhi Chup Chap Mohabbat Mein Bikharty Kiyun Hum 
Us ko Ehsas Mohabbat Ka Dilaye Huway Hain 

BadGumani Bhi Hai Kuch Rooz Sy Hum Dono ko 
Darmeyan Log Bhi Deewar Uthaye Huwy Hain 

Kon Kehta Hai k Gumnam Hain Is Shehar Mai Hum. 
Hum Bhi Is Shehar Mai Pehchan Banaye Huwy Hain

Mujhe Us Se Mohabbat Hai, Usay Bhi Yaad Ho Shayad, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Mujhe Us Se Mohabbat Hai
Usay Bhi Yaad Ho Shayad,


Abhi Yeh Kal Ki Baatein Hain 
Mera Us Se Khafa Hona 
Mera Usko Mana Lena 
Sarapa iltija Hona..! 

Woh Ab Bhi Yaad Hai Mujh Ko

Us K israr Karne Par 
Mera Iqrar Kar Lena. 
Bohat Dheeme Se Lehje Mein 
Yeh Us K Kaan Mein Kehna. 

Kasam Se Hai..!! 
Kasam Se Hai..!! 

Mujhe Tum Se MOhabbat Hai 

Abhi Yeh Sach Nahi Badla 
Zamaana Jo Kahe Chahe 

Mujhe Us Se Mohabbat Hai 
Bs ek Us Se Mohabbat Hai!!

Monday, 21 April 2014

Paron Ko Khol Zamana Urraan Dekhta Hai, Zameen Pe Baith k Kiya Aasmaan Dekhta Hai, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Paron Ko Khol Zamana Urraan Dekhta Hai 
Zameen Pe Baith k Kiya Aasmaan Dekhta Hai 


Jo Chal Raha Hai Nigaahon Mein Manzilen Le Kar 
Wo Dhoop Mein Bhi Kahaan Saaibaan Dekhta Hai 

Khandar Mein Ye Kis ko Mehal Ki Talaash Le Aayi ? 
Ye Kon Ruk k Meri Aan Baan Dekhta Hai 

Yehi Wo Shehar Jo Mere Labo'n Se Bolta Tha 
Yahi Wo Shehar Jo Meri Zubaan Dekhta Hai 

Mila Hai Hussn To Us Hussn ki Hifaazat kar 
Sambhal K Chal Tujhe Saara Jahaan Dekhta Hai 

Kaneez Ho Koi Yaa Koi Shehzaadi Ho 
Jo Ishq karta Hai kab Khaandaan Dekhta hai 

Main Jab Makaan k Baahar Qadam Nikaalta Hoon 
Ajab Nigaah Se Mujh ko Makaan Dekhta Hai

Kahin Chand Rahon Mein Kho Gaya Kahin Chandni Bhatak Gai, Urdu Image Poetry, Ghazal collection


Kaheen Chaand Raahon Mein Kho Gaya Kaheen Chandni Bhatak Gai 
Main Charagh Woh Bhi Bujha Howa Meri Raat Kaise Chamak Gai, 


Kabhi Ujlaa Ujlaa Saa Naam Hoon, Kabhi Khoya Khoya Kalaam Hoon 
Mujhe Subah Kirno Se Bhar Gai, Mujhe Shaam Phoolon Se Dhak Gai, 

Tujhe Bhool Jaane Ki Koshishain Kabhi Kamyaab Na Ho Sakeen 
Teri Yaad Shaakh-e-Gulaab Hai, Jo Hawaa Chali To Lachak Gai, 

Tere Haath Se Mere Hont Tak Wohi Intizaar Ki Piyaas Hai 
Mere Naam Ki Jo Sharaab Thi Kaheen Raaste Mein Chalak Gai, 

Kabhi Hum Mile Bhi To Kiya Mile Wohi Dooriyaan Wohi Faasle 
Na Kabhi Hamaare Qadam Barhe, Na Kabhi Tumhaari Jhijhak Gai, 

Meri Dastaan Ka Urooj Tha Teri Narm Palkon Ki Chaaon Mein 
Mere Saath Tha TUjhe Jaagna Teri Aankh Kaise Jhapak Gai

Sunday, 20 April 2014

Wo apni saari nafratein mujh pay lutata raha, Mera dil jis ko sada mohabbatein sikhata raha, By wasi shah, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Wo apni saari nafratein mujh pay lutata raha
Mera dil jis ko sada mohabbatein sikhata raha


Us ki aadat ka zara ye pehlo to dekho
Mujh se kiay vaaday wo kisi aur se nibhata raha

Kuch khabar nahi wo shaks kya chahta tha
K taaluq tor kar bhi mujh ko aazmata raha

Tootay huay taaluq main bhi kitni mazbooti hai "WASI" 
Main jitna bhulata raha wo utna hi yaad aata raha

Gulshan Ki Baharoon Pe Sar-e-Shaam Likha Hai, Phir Us Ne Kitaboon Pe Mera Naam Likha Hai, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Gulshan Ki Baharoon Pe Sar-e-Shaam Likha Hai 
Phir Us Ne Kitaboon Pe Mera Naam Likha Hai 


Ye Dard Musalsal Meri Duniya Main Rahey Ga 
Kuch Soch K Us Ne Mera Anjaam Likha Hai 

Jiss Ne Meri Janib Kabhi Mur Kar Nahi Dekha 
Us Shakhs K Hathoon Pe Mera Naam Likha Hai 

Main Kaisey Jiyun Us Se Bichar Kar 
Meri Har Saans Pe Us Ka Hi To Naam Likha Hai

Apni Meyaad-e-Gham Mein Main Jang-e-Saleeb Tha, Jo Baa-Muraad Hunar Tha Tera Naseeb Tha, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Apni Meyaad-e-Gham Mein Main Jang-e-Saleeb Tha 
Jo Baa-Muraad Hunar Tha Tera Naseeb Tha 


Shehnaiyon Mein Goonjti Thi Qatal Ki Rasm 
Qaatil Bhi Ek Shah Tha Raag Se Qareeb Tha 

Uzar Ka Izraeel Pe Har'Chand Asar Nahi 
Malmal ka Nok-e-Khaar Pe Manzar Ajeeb Tha 

Charaah-Gari Bhi AsaL Mein Do Chaar Baras Hai 
LUQMAN Bhi To Mar Gaya Jo Ik Tabeeb Tha 

Sau Chaand Raaten Le Gaya Kal Shab Ka Raat'Jaga 
Mehfil Thi, Zafraan Tha, Mera Habeeb Tha 

KhaamOsh Rida Orhh Li Nadim Zameer Ne 
Bus Naara-e-Takbeer Tha Jab Dil Khateeb Tha 

Mera Hisaab Le Liya To Khud Bhi Ro Parra 
Wo Hasb-e-Haal Ho Gaya Jo Khud Haseeb Tha 

Dhairon Duaaen De K Bhi Takka Na Mil Saka 
Faqeer Roz-e-Eid Bhi Kitna Ghareeb Tha 

Firdaus Mein Bhi Shola-e-Hasad Nahi Bujha 
Sardar Wahaan Saathiyon Ka Khud Raqeeb Tha 

saqi Bata! Dilon Ko Kese Loot Le Gaya? 
Jo Chor Tha, Na Thagg Tha, Na Naqeeb Tha

Chand mein dhaal kar teri surat, Thehre pani mein aqs dekhen gay, Heart Touching Poetry, Images Poetry, Romantic Poetry


Chand mein dhaal kar teri surat 
Thehre pani mein aqs dekhen gay 


Phir hila kar zara sa pani ko 
Rat bhar tera raqs dekhen gay 

Friday, 18 April 2014

Wo Jis Markaz Se Thay Mansoob Us Se Hat Chuke Hain, Idhar Kuch Din Se Hum Har Raabtey Se Kat Chuke Hain


Wo Jis Markaz Se Thay Mansoob Us Se Hat Chuke Hain
Idhar Kuch Din Se Hum Har Raabtey Se Kat Chuke Hain


Isi Mehdood Safhey Par Likhein Apni Kahaani
K Hum Doonon Taraf Se Haashiyon Mein Bat Chuke Hain

Bharam Rakha Huwa Hai Dhoop Mein Saaye Ne Apna
Wagarna ! Hum Qad-o-Qaamat Mein Kab k Ghat Chuke Hain

Wohi Sooraj Se Le Kar Chaand Tak Lamho'n ka Chalna 
Hamein Ab Roz-o-Shab k Sab Manaazir Rat Chuke Hain

Surkh sharabon jesi ankhen phool ki pati jaise hont, Heart Touching Poetry, Images Poetry, Romantic Poetry


Surkh sharabon jesi ankhen phool ki pati jaise hont
Gul ko dho de jesy shabnam us Larki k waisy hont,

Aankh uthaye tu tarpa de boly tu dehkaye aag 
Uff toba ye kesi ankhen uff toba ye kesy hont 

Aksar dhoonda karty hen hum phir kar sheher ki sarkon par 
Mast katora c wo ankhen mast bnaany waly hont 

Kitni pyari lagti hen wo ankhen mast ghazlon C 
Sholy se bharkaty dil me uff wo aag ugalty hont. 

Uff wo jaaron ka mosam wo barfon jesi tez hawa. 
Jany kya kya yad dilayen kanpty or thirakty hont. 

Ik zara bas chu leny se Aajiz jal kar khak huay. 
Akhir kab tak dekhte rehty us k angaron se hont.

Aik hum hain keh jaan se kehte hain, Sab mohabbat zuban se kehte hain, Heart Touching Poetry, Images Poetry, Romantic Poetry


Aik hum hain keh jaan se kehte hain
Sab mohabbat zuban se kehte hain

ایک ہم ہیں کہ جاں سے کہتے ہیں
سب محبّت زباں سے کہتے ہیں

Dil ne hum se kaha idhar dekho
Dard wale yaha se kehte hain

دل نے ہم سے کہا : ِادھر دیکھو
درد والے یہاں سے کہتے ہیں

Hai jo ghair se kaha tu ne
Log wabastagan se kehte hain

ہائے جو غیر سے کہا تُونے
لوگ وابستگاں سے کہتے ہیں

Jis ko sunna tha, wo to chorr gaya
Ab ye qissa jahan se kehte hain

جس کو سننا تھا' وہ تو چھوڑ گیا
اب یہ قصّہ جہاں سے کہتے ہیں

Kis ki manoon keh sab yaqeen wale
Apne apne gumaan se kehte hain

کس کی مانوں کہ سب یقیں والے
اپنے اپنے گماں سے کہتے ہیں

Kehne sunne se kuch nahi hota
Roz hum Asmaan se kehte hain

کہنے سُننے سے کچھ نہیں ہوتا
روز ہم آسماں سے کہتے ہیں

Haal-e-bemehri falak nayyar
Hum bhi kisi mehrbaan se kehte hain

حال ِ بے مِہری _ فلک ' نیّر !
ہم بھی کسی مِہرباں سے کہتے ہیں

Thursday, 17 April 2014

Mat karo mere alfazo ko tum is qadar pasand, Heart Touching Poetry, Images Poetry,


Mat karo mere alfazo ko tum is qadar pasand,
Kahi tumhe is shayar se pyaar na ho jaye..

Aaj To Zauq-E-Sukhan Urooj Pe Hai, Aaj Likhoo'n Ga Wohi Jo Rulaye Tum Ko, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Aaj To Zauq-E-Sukhan Urooj Pe Hai,
Aaj Likhoo'n Ga Wohi Jo Rulaye Tum Ko

Wednesday, 16 April 2014

Khizaan Naseeb Mein Rishta Magar Bahaar Se Bhi, Urdu Image Poetry, Ghazal collection


Khizaan Naseeb Mein Rishta Magar Bahaar Se Bhi 
Mujhe To Gul Ki Tawaqu Hai Nok-e-Khaar Se Bhi 


Muysir Hoon Main K Gina Jaon Ba-Waqaron Mein 
Unhen Ye Zid K Main Kharij Rahon Shumaar Se Bhi 

Jahan B Jaon Aseer-e-Hayaat Rehta Hoon 
Ye Masla To Na Hal Ho Saka Faraar Se Bhi 

Sahar Ki Kitni Duaen Khuda Se Maangi Hain 
Ab Iltemaas Karonga Jamaal-e-Yaar Se Bhi 

Ajeeb Hashr-e-Muhabat Ka Saamna Hai K Wo 
Khafa Khafa Hai Magar Daikhta Hai Piyaar Se Bhi

Main Mar Bhi Jaon To Takhliq Se Na Baaz Aaon 
Banaen Ge Nit-Naye Khaakey Meray Ghubar Se Bhi 

NADEEM Waqt Ka Marham Na Mery Kaam Aaya 
K Zakham-e-Dil Na Bhara Tool-e-Intzaar Se Bhi

Tuesday, 15 April 2014

Jab tum akelapan mehsoos karo, To kabhi pareshan mat hona, Images Poetry,

Jab tum akelapan mehsoos karo 
To kabhi pareshan mat hona

Apni ankhen band karna
or khuda se khna "Aey Khuda"

Tumne mujhe itna Qeemti kyu bnaya k 
koi hasil hi nahi kar paya

Tar Huwe Ashkon Se Raton k Andheray Kitnay, Hijar k Nohay Banay, Bin Teray Sehray Kitnay

Tar Huwe Ashkon Se Raton k Andheray Kitnay 
Hijar k Nohay Banay, Bin Teray Sehray Kitnay 

Meri Aamad Ki Khabar Sun k Guzar-Gaahon Par 
Haakim-e-Shehar Ne Lagwaaye Hain Pehray Kitnay 

Tujh Se Mil Paaon Ga Mumkin Nahi Lagta Ay Dost! 
Khuwaab Reh Jaayen Ge Phir Mere Adhooray Kitnay 

Baat Jab Phaili Chaman Mein Teri Angrraai Ki 
Dekhne Tujh ko Chale Aaye Sapairay Kitnay 

Tere Kis Roop ko Main Apna Muqadar Samjhon 
TU Ne Ay Dost ! Bana Rakhe Hain Chehray Kitnay 

Achay Waqton Mein Bahut Log Thay Meray Hamraah 
Kiya Bataaon, Buray Haalat Mein Thehray Kitnay 

Dekhnay Se Jo Nazar Aatay Hain Seedhay Saaday 
Kis Ko Maaloom, Wo Dar-Asal Hain Gehray Kitnay 

Tujh ko Maaloom Hai Ye Bazm-e-Sukhan Mein Teri 
Meray Aanay Se Badal Jayen Ge Chehray Kitnay 

Aao Ab Pooch Hi Len Shehar k Naqadon Se 
Rang Ye Main Ne Hain Bikhairay Kitnay

Jo Huwa Ik Baar Wo Har Baar Ho Aisa Nahi Hota, Hamesha Aik Hi Se Piyar Ho, Aisa Nahi Hota, Sad Poetry, Images Poetry,

Jo Huwa Ik Baar Wo Har Baar Ho Aisa Nahi Hota 
Hamesha Aik Hi Se Piyar Ho, Aisa Nahi Hota 

Har Ik Kashti ka Apna Hi Tajarba Hota Hai Dariya Mein 
Saffar Mein Roz Hi Manjhdaar Ho, Aisa Nahi Hota 

Kahaani Mein To Kirdaaron ko Jo Chaahe Bana Dijiye 
Haqeeqat Bhi Kahaani Kaar Ho, Aisa Nahi Hota 

Kaheen To Koi Hoga Jis ko Apni Bhi Zaroorat Ho 
Har Ik Baazi Mein Dil ki Haar Ho, Aisa Nahi Hota 

Sikhaa Deti Hain Chalna Thokrain Bhi Raahgiron Ko 
Koi Raasta Sadaa Dushwaar Ho, Aisa Nahi Hota

Sudh Budh Apni Kho Betha Hon, Janey Kis Ka Ho Betha Hon, Heart Touching Poetry, Images Poetry, Romantic Poetry

Sudh Budh Apni Kho Betha Hon 
Janey Kis Ka Ho Betha Hon 

Ghairon Se Ab Kiya Hai Darna 
Sab Apno Ko Ro Betha Hon 

Mein To Nahi Hon Thakne Wala 
Saath Ho Tum Jab, To Betha Hon 

Tum Ko Kiya Duniya Ki Fikrein 
Mein Hon Na, Mein Jo Betha Hon 

Mera Tum Se Ab Kiya Jhagrra 
Chorro, Janey Do, Betha Hon 

Jo Thay Saathi Chale Gaye Hain 
Mein Bhi Janey Ko Betha Hon 

Har Jaanib Nafrat Ki Faslein 
Janey Mein Kiya Ho Betha Hon 

Jatey Jatey Tum Ne Kaha Tha 
Tum Aao Gay, So Betha Hon

Tujhse Bichra To Kidhar Jaonga, Main To Be-Chaini Se Mar Jaonga, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,

Tujhse Bichra To Kidhar Jaonga 
Main To Be-Chaini Se Mar Jaonga 

Main To Aesy Nahi Jaane Wala 
Chaand Doobey Ga To Ghar Jaonga 

Motiyo'n Se Bhara Bartan Hoon Main 
Toot Jaaon Ga Bikhar Jaonga 

Main To Sehma Huwa Sannaata Hoon 
Apni Aawaaz Se Darr Jaonga 

Main Agar Koi Samandar Bhi Hoon 
Ek Tere Dard Se Bhar Jaonga 

Waqat Ki Rutt Mein Farhat ! 
Kaheen Chup Chaap Utar Jaonga

Sunday, 13 April 2014

Matlab Parasti, Thi Ya Masoomiat Khuda Janay, Heart Touching Poetry, Images Poetry,


Matlab Parasti 
Thi Ya Masoomiat Khuda Janay

Main ne Kaha Mohabbat Hai? Kehne Lagay "Kiya Matlab"

Pehlu-e-Shah men ye Dukhtar-e-Jamhur ki qabar, Kitne ghum gushta fasanon ka pata deti hai, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Pehlu-e-Shah men ye Dukhtar-e-Jamhur ki qabar
Kitne ghum gushta fasanon ka pata deti hai, 

Kitne khoon raiz haqaiq se uthati hai naqab 
Kitni kuchli hui janon ka pata deti hai, 

Kese maghroor shahanshahon ki tasken k liye 
Saal ha saal hasinon kay bazar lage, 

Kese behki hoi nazron ki taish ke liye 
Surkh mehlon mai javan jismon kay anbar lage, 

Sehmi sehmi si fizaon mein ye viraan marqad 
Itnaa khamosh hai fariyad kunaa ho jese, 

Sard shakhon men hava cheekh rahi hai aise 
Rooh-e-Taqdees-o-Wafa marsiyaa khvan ho jaise, 

Tu meri jaan Hairat-o-Hasarat se na dekh 
Hum mein koi bhi jahan Noor-o-Jahangir nahi, 

Tu mujhe chor kay thukra kay bhi jaa sakti hai 
Tere hathon mein mera haath hai zanjeer nahi...

Mere Jan-o-Dil Mere Hum Safar, Mai Udas Hon Koi Baat Kar, Sad Poetry, Images Poetry, New Urdu Poetry,


Mere Jan-o-Dil Mere Hum Safar 
Me Udas Hon Koi Baat Kar 

Tere Lab Hilein To Kate Safar 
Me Udaas Hon Koi Baat Kar 

Koi Bojh Hai To Utaar De 
Koi Khof Hai To Nikaal De 

Mera Haath Hai Tere Hath Par 
Me Udaas Hon Koi Baat Kar 

Nahi Yaad Kitne Baras Gai 
Teri Guftagu Ko Taras Gai 

Meri Khirkiyaan Mery Diwar-o-Dar 
Me Udaas Hon Koi Baat Kar 

Tujhe Chup Hai Kesi Lagi Hui
Abhi Umar To Hai Parri Hui 

Abhi Muskura Abhi Gham Na kar 
Me udas hon koi baat kar

Friday, 11 April 2014

Moasam ki misaal doon ya tumhari....? Koi pouch betha hai badalna kis ko kehte hain, Sad Poetry, Images Poetry, New Urdu Poetry

Moasam ki misaal doon ya tumhari....?
Koi pouch betha hai badalna kis ko kehte hain


Wednesday, 9 April 2014

Dekh kar hum ko jo shaad hua karte hain, Sirf wo apne he ehbaab hua karte hain, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,

Dekh kar hum ko jo shaad hua karte hain
Sirf wo apne he ehbaab hua karte hain

دیکھ کر ہم کو جو شاد ہُوا کرتے ہیں 
صِر ف وہ اپنے ہی احباب ہوا کرتے ہیں

Aey ghata baad-e-Saba, shokh Hawa, Chanchal see
Baagh mai jane ke adaab hua karte hain

اے گھٹا بادِ صبا ، شوخ ہوا ، چنچل سی
باغ میں جانے کے آداب ہوُا کرتے ہیں 

Jo Nazar atay hain khamosh tabiyat hum ko
inke andar kai selaab hua karte hain

جو نظر آتے ہیں خاموش طبیعت ہم کو 
ان کے اندر کئی سیلاب ہوُا کرتے ہیں 

Sirf chehre se ayaan hote nahi dil ke raaz
ek risale mai kai baab hua karte hain

صِرف چہرے سے عیاں ہوتے نہیں دِل کے راز
اِک رسالے میں کئی باب ہُوا کرتے ہیں 

Jo har baat mai ye takabbur, ye gharoor
Sirf barbadi ke asbaab hua karte hain

جو ہر بات میں جو یہ تکبر ، یہ غرور 
صِرف بربادی کے اسباب ہُوا کرتے ہیں 

Lafz jab tak wazu nahi karte, Hum teri guftagu nahi karte, Heart Touching Poetry, Images Poetry, Romantic Poetry

Lafz jab tak wazu nahi karte
Hum teri guftagu nahi karte

لفظ جب تک وضو نہیں کرتے
ہم تیری گفتگو نہیں کرتے

Tu mila hai in be-qadron ko
Jo teri Arzu nahi karte

تُو ملا ہے اُن بےقدروں کو
جو تیری آرزو نہیں کرتے

Jab se ashkon ne bolna seekha
Lab koi guftagu nahi karte

جب سے اشکوں نے بولنا سیکھا
لب کوئی گفتگو نہیں کرتے

Tuesday, 8 April 2014

Tum He Say Mera Chaand Khilay, Tum He Say Chaandni Milay, Heart Touching Poetry, Images Poetry,

Tum He Say Mera Chaand Khilay, 
Tum He Say Chaandni Milay, 

Tum He Say Subaah Ho Meri, 
Tum He Say Meri Shaam Dhalay, 

Tum He Say Mehkay Har Kali, 
Tum He Say Her Phool Khilay, 

Tum He To Apnay Ho Meray, 
Tum He Say Hain Sub Gilay, 

Tum He To Chaahat Ho Meri, 
Tum He Say Mera Dil Milay,

Mulaqaten Hamaari Be-Irada Kiyon Nahi Hoti, Mohabbat Ki Guzar-Gaahain Kushada Kiyon Nahi Hoti, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,

Mulaqaten Hamaari Be-Irada Kiyon Nahi Hoti
Mohabbat Ki Guzar-Gaahain Kushada Kiyon Nahi Hoti

Hamaare Darmiyan Ye Ajnabiyat Ka Dhuwaan Kiyon Hai
Hamaari Chahten Had Se Ziyada Kiyon Nahi Hoti 

Mere Jazbaat Ki Khushbu Utarti Kiyon Nahi Tujh Mein 
Tere Dil Ki Sabhi Rahain Kushada Kiyon Nahi Hoti 

Khushi Ki Chand Boonden Jisam Ko Geela Kar To Deti Hain 
Mayasar Rahten Lekin Ziyada Kiyon Nahi Hoti 

Tere Nazdeek Reh Kar Bhi Ye Doori Ka Gumaan Kesa 
Teri Banhain Meri Khaatir Kushada Kiyon Nahi Hoti

Barre Naz-o-Ada Aksar Ye Dikhlati Hain Raaston Mein 
Ye Sohni Larkiyan Bhi Saada Kiyon Nahi Hoti 

Roshni aur baharain tumhi rakh lo jana, Mere jugnu mere mosam wapis kar do, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,

Roshni aur baharain tumhi rakh lo jana 
Mere jugnu mere mosam wapis kar do, 

Meri hasrat meri mehroomiyan lauta do mujhe 
Mere aanso mere matam mujhe wapis kar do, 

Jane waley se bas itna hi kaha tha main ne 
Kuch na lotao mere gham mujhe wapis kar do, 

Kiun ye takrar si hone lagi Main ki jana'n 
Wo tu hum tum me tha ik Hum mujhe wapis kar do,

Jitni khushiyan hain wo rakh lo meri janib se 
Meri aankhon me chupy namm mujhe wapis kar do.

Gum Ho Gaye Ho Ghairon Ki Chahat Me Is Tarah, Shayd Tumhain Ab Meri Zarorat Nahi Rahi, Sad Poetry, Images Poetry, New Urdu Poetry

Gum Ho Gaye Ho Ghairon Ki Chahat Me Is Tarah 
Shayd Tumhain Ab Meri Zarorat Nahi Rahi 

Milte Bhi Ho Tu Aise Jese Aajnabi Ho Tum 
Aankho'n Main Pehli si Wo Murawat Nahi Rahi 

Itni Shadeed Chahat Ka Ye Hi Sila Hai Kya 
Ab Haal Pochne Ki Bhi Fursat Nahi Rahi 

Khud Gharziun K DalDal Me Rishte Uter Gaye 
Ab Chahat_O_Khaloos Ki Qeemat Nahi Rahi

Halaat Ne Hum Ko Bohat Kamz0r Kar Diya
Ab Sadame Uthanay Ki B Sakat Nahi Rahi

Jo Qurbaton K Nashe Thay Wo Ab Utarne Lage, Hawa Chali Hai Tu Jhonke Udas Karne Lage, Picture Poetry, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,

Jo Qurbaton K Nashe Thay Wo Ab Utarne Lage 
Hawa Chali Hai Tu Jhonke Udas Karne Lage, 

Gai Ruton Ka Taluq Bhi Jaan Leva Tha 
Bohat Se Phool Naye Mosamon Me Marne Lage, 

Wo Mudaton Ki Judai K Bad Hum Se Mila 
Tu is Tarha Se K Ab Hum Guraiz Karne Lage, 

Ghazal Me Jese Tere Khad_O_Khaal Bol Uthen 
K Jis Tarha Teri Tasveer Baat Karne Lage, 

Bohat Dino Se Wo Ghambeer Khamoshi Hai 
K Log Apne Khayalon Se Aap Darne Lage...

Monday, 7 April 2014

Had-e-Shaoor Tak Aane Mein Dair Lagti Hai, Falak Pe Naqsh Banaane Mein Dair Lagti Hai,


Had-e-Shaoor Tak Aane Mein Dair Lagti Hai, 
Falak Pe Naqsh Banaane Mein Dair Lagti Hai, 

KHUDA Ki Zaat Ko Paa Lena Ain Mumkin Hai, 
Khud Apne Aap Ko Paane Mein Dair Lagti Hai, 

Kuch Aur Dard Mein Shiddat Barha Sitam-Gar TU, 
Labon Tak Aah Ko Aane Mein Dair Lagti Hai, 

Jala Charaagh Bujhaana Bahut Hi Aasaan Hai, 
Bujha Charaagh Jalaane Mein Dair Lagti Hai, 

Barra Kamaal Hai Jazbaat Ko Zubaan Dena, 
Khalish Ko Shair Banaane Mein Dair Lagti Hai, 

Lahoo Mein Dard Bhara Ho To Phir ! 
Khushi Ki Fasal Ugaane Mein Dair Lagti Hai,

Maghroor he sahi mujhay acha bohat laga, Woh ajnabi tu tha magar apna bohat laga,


Maghroor he sahi mujhay acha bohat laga
Woh ajnabi tu tha magar apna bohat laga

Rootha hoa tha hans tu para mujhko Dekh kr
Mujhko tu iss qadar bhi dilasa bohat laga

Resham pehan k bhi meri qeemat na barh saki
Khaddar bhi usko jism pe acha bohat laga

Lahoo Dariya Mein Toofan Tha To Manzar, Door Tak Bikhray, Aur Ab Tooty Parry Hain Khuwaab K Ghar,

Lahoo Dariya Mein Toofan Tha To Manzar, Door Tak Bikhray, 
Aur Ab Tooty Parry Hain Khuwaab K Ghar, Door Tak Bikhray, 

Tujhe Dil Se Nikaala To Bahut Se Qeh-Qaho'n K Saath, 
Kayi Aansoo Bhi Niklay Aur Baraabar, Door Tak Bikhray, 

Shikasta Par, Koi Ziddi Parinda Tha Kabhi Dil Mein, 
Mara Piyaasa, Magar Umeed K Parr, Door Tak Bikhray, 

Kisay Be-Antt Khuwaahish K Tassalsul Mein Guzishta Shab, 
Adhoray Se Mile Hum Aur Mil Kar, Door Tak Bikhray, 

Zaroorat Yaad Hoti Hai, Magar Rishta Nahi RAAZI, 
Zameen Kab Khatam Kar Paaye Samandar, Door Tak Bikhray, 

Kabhi gareban k taar gintay, kabhi salebon pe jaan daitay, Sad Poetry, Images Poetry,


Kabhi gareban k taar gintay, 
kabhi salebon pe jaan daitay

guzar gai zindagi hamari, 
sada yahi imtehaan daitay

hamary lafzon se nutq cheena ha 
apni mehromion ne warna

sukhanwaro ham bhi apni basti k 
pattharon ko zuban daitay

saza sunanay se peshtar munsifon se 
pal bhar jo izn milta

tu ham bhi jurm-e-ana k haq main 
koi adhoora bayan daitay

Hum se mat pocho raastay ghar k, Hum musafir hain zindagi bhar k, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry,


Hum se mat pocho raastay ghar k
Hum musafir hain zindagi bhar k

Kon soraj ki aankh se din bhar
Zakham ginta ha shab ki chadar k

Sulaah kr li yeh soch kar main ne
Mere dushman na thay barabar k

Khud se khaimay jala diye main ne
Hoslay daikhna thay lashkar k

Gar janoon maslehat na apnaye
Sir se rishtay bohat hain patthar k

Hum bhi chuntay thay seepiaan aksar
Hum bhi maqrooz hain sumandar k

Aankh k gird maatmi halqay
Saaye jaisay jaly hoey ghar k

Doston ki zuban tu khulnay do
Bhol jao gay zakhm khanjar k

Aankh nam bhi kro tu bas itni
Rang pheekay paren na manzar k