Monday, 28 December 2015
Saturday, 19 December 2015
Nazar Or Naseeb Ka Kuch esa Ittefaq Hai Keh Nazar Ko Aksar Wo He Cheez Pasand Ati Hai Jo Naseeb Me Nahi Hoti Or Naseeb Me Likhi Cheez Aksar Nazar Nahi Ati, urdu beautiful lines for life. behtareen alfaaz zindagi ke liye
Beautiful Lines for Your Life
Nazar Or Naseeb Ka Kuch esa Ittefaq Hai Keh
Nazar Ko Aksar Wo He Cheez Pasand Ati Hai
Jo Naseeb Me Nahi Hoti
Or
Naseeb Me Likhi Cheez Aksar Nazar Nahi Ati
Chalne Wale dono Pairon Me Kitna Farq Hai
Ek Aagay Ek Piche
Par Na To Aagay Wale Ko Ghuror Hai
Or
Na Piche Wale Ki Toheen
Q Ki Un Hai Pata Hai Keh
Pal Bhar Me Ye Badalne Wale Hain
Isko Zindagi Kehte Hai.
Zindagi Me Agar Kuch Khona Pare To
Ye 2 Lines Yaad Rakhna
"Jo Khoya Hai Uska Ghum Nahi Likin Jo Payaa Hai Wo Kisi Se Kam Nahi
Jo Nahi Hai Wo Ek Khuwab Hai Jo Hai Wo Lajawab Hai"
Dua Hai Ke Allah Hamesha Ap Ko Apni Panah Me Rakhe Ameee
Saturday, 12 December 2015
Sunday, 6 December 2015
Yaad-e-Maazi Kat gaya wo waqt bhi dhal gai wo raat bhi Aaj wo hain ajnabi jin se tha humko kaam bhi, Urdu sad poetry, heart touching poetry by khizar hayat
Yaad-e-Maazi
Kat gaya wo waqt bhi dhal gai wo raat bhi
Aaj wo hain ajnabi jin se tha humko kaam bhi
Sher ka unwaan wo, har satar ka raaz wo
Mit gaya wo harf bhi rootha raha wo pyaar bhi
ab to be rabti ka ye alam hai na he pouchiye
Lut gaya wo karwaan jis pe tha hum ko naaz bhi
ek dorahay pe aa ke ye musafat bhi khatam
Aqle madi ne kaha manogay naa tum haar bhi
Yad E Maazi kar rahi hai reza reza ab mujhe
Kash mil jata khizar ko bawafa ek yaar bhi
Friday, 4 December 2015
Thursday, 26 November 2015
Sunday, 22 November 2015
Neend to Aane ko thi par Dil pichly Qissay le Baitha... Ab khud ko Be-Waqt Sulany main Kuch Waqt To lagega, urdu poetry, best loving poetry
Neend to Aane ko thi par Dil pichly Qissay le Baitha...
Ab khud ko Be-Waqt Sulany main Kuch Waqt To lagega
Pagli Neend to Aane ko thi par Dil pichly Qissay le Baitha...
Ab khud ko Be-Waqt Sulany main Kuch Waqt To lagega
Lafzon ko tarash k ghazal bana diya karte hain Hum chaak-e-mohabbat par alfaaz siya karte hain, urdu poetry, best poetry
Lafzon ko tarash k ghazal bana diya karte hain
Hum chaak-e-mohabbat par alfaaz siya karte hain…
Zara nazarein bacha k chalna hum se, hum wo hain
Jo pehali nazar mein hi dil chura liya karte hain…
Jin ko be’rang kehti hai yeh duniya, hum to unhein
Rangon mein rang mila k tasveer Bana diya karty hain
Shaayar hain hum Zara hat k iss zamane se janab,
Chand lafzon ko mila k He Geet bana liya karte hain ..
Kya Yehi iShQ ka Mayaar Bana rakha hai' Tum Ne Hr Shakhs ko DiL'daar Bana rakha hai, urdu ghazal, poetry of the day
Kya Yehi iShQ ka Mayaar Bana rakha hai'
Tum Ne Hr Shakhs ko DiL'daar Bana rakha hai,
Log Aatay hain Thehrtay hain ChLay Jatay hain'
Tum Ne to DiL ko bhi Bazaar Bana rakha hai,
Aankh men AShk Bhray Jisam pe Maatam k Nishaan'
iShQ Ne Sab ko Aza'daar Bana rakha hai,
Sach to Ye hay k khud Apna Mukhalif Main hoon'
Khud ko Khud Raah ki Dewaar Bana rakha hai,
Dukh to Ye hay k Wo Saari hi Kahani main Nahi'
Hum Ne Jisko Markzi kirdaar Bana rakha hai..
Tuesday, 10 November 2015
Mulaqatein urooj per thi to jawab e azan tak na diya IQBAL Sanam jo rootha hai to aaj moazin bane bethay hain, Allama Iqbal poetry
-: Allama Iqbal :-
Mulaqatein urooj per thi to jawab e azan tak na diya IQBAL
Sanam jo rootha hai to aaj moazin bane bethay hain..
Na kalma yaad ata hai na dil lagta hai nemazon mai IQBAL
Kafir bana diya hai logo ko do din ki mohabbat ne...
Kitni ajeeb hai gunahon ki justoju IQBAL
nemaz bhi jaldi parhte hain phir se gunah karne ke liye
Sunday, 1 November 2015
Soyi Nahi Hoon Mujhe Sulaa Do Maa Ajao Mujhe Lori Sunaa do Maa, Ashk Meri Ankhon Se Jam se Gaye Hain Kar ke Jabar mujhe Rula Do maa, urdu ghazal, urdu poetry about mother.
Soyi Nahi Hoon Mujhe Sulaa Do Maa
Ajao Mujhe Lori Sunaa do Maa
Ashk Meri Ankhon Se Jam se Gaye Hain
Kar ke Jabar mujhe Rula Do maa
Dekh Kitni Be Tarteeb Ho Gayi Hai Zindagi Meri
Bikhre Hain mere Baal bana do maa
Bohat Darr Lagta hai mujh ko Duniya Se
Apne Aanchal Mai Mujh ko Chupa lo Maa
Jall Rahi hoon Main ik be-naam si tapish se
Choom ke mera maatha bhuja do Maa
Monday, 12 October 2015
Bichraa Jo ik Baar To Milte Nahi Dekha Iss Zakham Ko Hum Ne Kabhi Silte Nahi Dekha, by perveen shakir
Bichraa Jo Ik Baar To Milte Nahi Dekha
Iss Zakham Ko Hum Ne Kabhi Silte Nahi Dekha,
Ik Baar Jis Se Chaat Gayi Dhoop Ki Khwahish
Phir Shaakh Pe Uss Phool Ko Khilte Nahi Dekha,
Yak-Lakht Gira Hai To Jarre Tak Nikal Aayin
Jis Perr Ko Aandhi Main Bhi Hilte Nahi Dekha
Kanton Main Ghiray Phool ko Choom Ayegi Lekin
Titlee Ke Paron Ko Kabhi Chilte Nahi Dekha
Kiss Tarah Meri Rooh Ko Harri Kar giya Aakhir
Woh Zeher Jis se Jism Main Khilte Nahi Dekha...
Monday, 5 October 2015
Tuesday, 29 September 2015
Ek Pal ke liye Socho agar Dost na hote toh Hum kya kya na kr Paate., Nursery mei Gumm hua bottle ka cap kaise dhoondh paatey
Ek Pal ke liye Socho agar Dost na
hote toh
Hum kya
kya na kr Paate....!!
Nursery mei Gumm hua bottle ka
cap kaise
dhoondh paatey
LKG mei A,B,C,D likh kr Gurur kise
batate.... .
UKG me aakar Hum kiski Pencil
uthate.....
1st mei button wala compass
box kise dikhate....
2nd me girr jane par haath kiska
paatey....
3rd me absent hone per copy
kiski laatey....
4th me ladd jaane per daant
kaise khate.....
5th mei fir Hum apna lunch kise
chakhate....
6th mei teacher ki pitaai per
Hum kise chidhate..... .
7th mei khel kud mei Hum kise
haratey.....
8th me Best Friend kehkr Hum
kise milate....
9th me 'Algebric Expression'
Hum kisse solve krvatey.....
10th mei Hum 'Reproduction'
padh kar kise dekh
Muskuratey..... .
11th mei apni wali/apne wale ka
Subject kise bata Paatey.....
12th mei durr hokar Aansu kiske
Kandhe par Giratey....
Fir bahar ki iss duniya mei Hum
kaise kadam uthatey, . .
"Yahi toh Pyaar hai" aise words
kaha se aatey....
Mobile no. se lekar uske bhai
kitne h kaise jaan patey,
Mummy, Papa,Di or Bhaiya ki
kami kaise seh patey.... .
Har roz Copy Pen bhool kr
College kaise jaatey.....
"Arey Batana" Exam mei aisi
awaz kise lagatey.....
Birthday per Cake kya Hum
Khud hi apne chehre per
lagate.....
Bematlab ki baaton per Hum kis
per chillatey.....
Degree milne ki khushi Hum kise
jata Paate....
Aisi hi Anginat Yaadon ko Hum
kaise Jod paatey..... .
Shayad bina Doston k Hum Saans
toh lete
par..... Zindagi na jee paate.
Saturday, 26 September 2015
Mujhey talash hai uski jo mere jaisa ho Mere khulus ko pehchanta ho bus kafi hai Wo koi b ho,kahin b ho,kaisa b ho Mere khatir marney ka hosla b rakhta ho Agar kabhi rooth jaoon mein us se to Muskra k manayee,wo aisa ho Jo baat karey to wo nibha b sakey Iradon mein wo apney chahaton jaisa ho Dukhon mein hansney ka hunar janta ho
Mujhey talash hai uski jo mere jaisa ho
Mere khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
Wo koi b ho,kahin b ho,kaisa b ho
Mere khatir marney ka hosla b rakhta ho
Agar kabhi rooth jaoon mein us se to
Muskra k manayee,wo aisa ho
Jo baat karey to wo nibha b sakey
Iradon mein wo apney chahaton jaisa ho
Dukhon mein hansney ka hunar janta ho
Ik aisa hamsafar jo samander ki tarah gehra ho
Us k piyar ki thandak ho mere liye aisi k wo bilkul aasman k chand jaisa ho
Wo sirf mera ho,
jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar sath chalne ka azam rakhta ho
Jo khuwab dene ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sakay wo aisa ho
Friday, 11 September 2015
Mujhe Maaf Kar Mere Humsafar Tujhe Chahna Meri Bhool Thi, Kisi Raah Par Jab Uthi Nazar Tujhe Dekhna Meri Bhool Thi, urdu best ghazal, best poetry, urdu poetry,
Mujhe Maaf Kar Mere HumsafarTujhe Chahna Meri Bhool Thi,
Kisi Raah Par Jab Uthi Nazar
Tujhe Dekhna Meri Bhool Thi,
Koi Nazam Ho Ya Koi Gazal
Kahin Raat Ho Ya Kahin Seher,
Wo Gali Gali Wo Sheher Sheher
Tujhe Dhondna Meri Bhool Thi,
Mere Ghum Ki Koi Dawa Nahi
Mujhe Tujhse Koi Gila Nahi,
Tera Koi Mere Siwa Nahi
Yahi Sochna Meri Bhool Thi.
Aik Roshni to meri Haqayat mai Jala do Chup Chap Mujhe Apni Mohabbat Mai Jala do, urdu sad poetry, heart touching poetry, best urdu poetry
Aik Roshni to meri Haqayat mai Jala doChup Chap Mujhe Apni Mohabbat Mai Jala do,
Tum Shama Ho Har Hal Tumhen Jalna Pare ga.
Main IShq Hon ParwaNe ki SuRat Mai Jala do,
Kuch Zakhm Nachoro k Mera Zabat Bhi Toote
KhuwaiSh Hai k Tum dard ki Shidat Mai Jala do,
Main Baraf December Hon Tum To June July
Milne Kabhi Aao Mujhe Hiddat Mai Jala do,
Mumkin Hai Ye k Wo Aa Jaye Achank.
Do Char Diye Chat Pe Rawayat Mai Jala do..
Wednesday, 2 September 2015
Jab Guzar jaye gi Bahaar to kya karo gay Yaad aye ga mera Pyar to kya karo gay, Picture Poetry, Heart Touching Poetry, Sad Poetry, Images Poetry, New Urdu Poetry
Jab Guzar jaye gi Bahaar to kya karo gayYaad aye ga mera Pyar to kya karo gay
Sattaty ho aise jaise ajnabi hoon Main
Jab rothen gay tum se to kya karo gay
Apnao gay kisi aur ko mujhe Tanha chor kar
Usey ho ga na tum se Pyar to kya karo gay
Aakhir lot k aao gay tum meri kabar par
Phir milay ga na phela Pyar to kya karo gay
Abhi to hansty ho meri Wafaaon par
phir jab hum hi na hon gay to kya karo gay.
All Smiling persons are not the happiest Persons,
Tuesday, 25 August 2015
Uski hasrat jai jise dil se mita bhi na saku dundne niklu to mai use pa bhi na saku, dard e dil poetry
Uski hasrat jai jise dil se mita bhi na saku
dundne niklu to mai use pa bhi na saku
mehrbaan ho ke bula lo mujhe chahe jis wakt
mai gaya waqkt nahi hu ke fir aa bhi na saku
daal ke khaak mere lhoon pe katil ne kaha
kuchh ye mehdi nahi hai chhupa bhi na saku
jaft kambakht ne aake gala ghota hai
ke use bolna chahu to bata bhi na saku
zaher milta hi nahi mjhko sitam gar warna
kya kasam hai tere milne ki ke kha bhi na saku
uske pahlu me jo le ja ke sula du dil ko
need aysi use aaye ke fir jaga bhi na saku
Ajnabi ho ke jaise saheli lage wo, hame uljhi uljhi paheli lage, bnd muththi lage jab wo khamosh ho honth khole to jaise hatheli lage, urdu romantic poetry
Ajnabi ho ke jaise saheli lage wo
hame uljhi uljhi paheli lage
bnd muththi lage jab wo khamosh ho
honth khole to jaise hatheli lage
mushkuraye to jaise juhu ki kali
khil khila kare hase to chameli lage
zishm jaise ho mazdoor ki jhopadi
dil se fir bhi magar wo haweli lage
saath ke jab se wo rahne lagi
gul badan dil nasheen neew naweeli lage
Thursday, 20 August 2015
Bohat tanha hua hoon main palatt ke aa bhi jao tum Ashq kaa dariyaa hua hoon main palat ke aa bhi jao tum, urdu poetry
Bohat tanha hua hoon main palatt ke aa bhi jao tum
Ashq kaa dariyaa hua hoon main palat ke aa bhi jao tum,
Jahan pe hath chhorra tha jahan pe sath chhorra tha
Usi raah pe kharra hoon main palatt ke aa bhi jao tum,
Udaasi ne banaya ghar mere dil k bagheeche mein
Bohat hi ghamzada hoon main palatt ke aa bhi jao tum,
Dar-o-deewar kehte hain mere kaano mein aa aa kar
Kab se veeraan parra hoon main palatt ke aa bhi jao tum,
Kisi ka baa-wafa hona Sajid sabab hai gar judaai ka
Suno! phir be-wafa hoon main palat ke aa bhi jao tum.
Tuesday, 11 August 2015
Monday, 3 August 2015
Koi nataa na mohabbat ke barabar nikla Toot kar chaha jisse woh sitamgar nikla, urdu poetry, ghazal, bewafa ghazal
Koi nataa na mohabbat ke barabar nikla
Toot kar chaha jisse woh sitamgar nikla,
Yun to har lehar se thi apni shanasaai bohat
Samjha saahil jisse woh gham ka samandar nikla,
Rooh main jhaanka to yeh mehsuus hua mujhko
Itna zarkhaiz jo lagtaa tha woh banjar nikla,
Narmi hathon main na garmi saanson main magar
Mai ne chu kar ussey dekha to woh pathar nikla,
Wednesday, 22 July 2015
Aankh banjati hai saawan ki ghata shaam ke baad Laut jata hai agr koi khafaa shaam ke baad, urdu poetry, best poetry, urdu ghazal
Aankh banjati hai saawan ki ghata shaam ke baad
Laut jata hai agr koi khafaa shaam ke baad
shaam tuk Qaid raha kurte hain dil k ander
durd ho jate hain sare riha shaam k baad
log thuk haar k su jatay hain lekin janaan
hum ne khush ho k tera durd saha shaam k baad
shaam se pehle tuk laakh sulaay rakhein
jaag uth-ti hai mohabat ki ana shaam k baad
chand jub ru k sitaroon se galay milta hai
ik ajab rung ki hotee hai fiza shaam k baad
hum ne tanhaai se pocha k milo gi kub tuk
us ne be-chaini se forun hee kaha shaam k baad
mae agr khush bhi rahon phir bhi mere seene mein
su-gawari koi roti hai sada shaam k baad
laur aatee hai meri shub ki ebadut khali
jane kis arsh pe rehta hai Khuda shaam k baad
koi bhula howa ghum hai jo musulsul mujh ko
dil k pataal se daita hai sada shaam k baad
maar daita hai ujar jane ka dhoura ehsaas
kaash ho koi kissi se na Juda shaam k baad
Sunday, 12 July 2015
Sunday, 14 June 2015
Jis dil mein Tumhari (MUHABBAT ) ki Qadar na ho" Tumhary liye Behtar hai k tum woh (Dosti) hi chor do.! HAZRAT Ali (R.A)
Jis dil mein Tumhari (MUHABBAT ) ki Qadar na ho"
Tumhary liye Behtar hai k tum woh
(Dosti) hi chor do.!
HAZRAT Ali (R.A)
Thursday, 4 June 2015
Aahat si koi aaye to lagta hai ki tum ho Saaya koi lehraaye to lagta hai ki tum ho, Jub shaakh koi haath lagate hee chaman mein Sharmaaye, lachak jaaye, to lagta hai ki tum ho, Urdu ghazal, lovely poetry
Aahat si koi aaye to lagta hai ki tum ho
Saaya koi lehraaye to lagta hai ki tum ho
Jub shaakh koi haath lagate hee chaman mein Sharmaaye,
lachak jaaye, to lagta hai ki tum ho
Raaste ke dhundhalke mein kisi mod pe
kuchh door Ek lau si chamak jaaye to lagta hai ki tum ho
Sandal se mahakti hui purkaif hawa ka Jhonka
koi lehraaye to lagta hai ki tum ho
Odhe hue taaron kee chamaktee hui chaader
nadiya koi bal khaye to lagta hai ki tum ho
Jab raat gaye koi kiran mere barabar
Chupchap se so jaaye to lagta hai ki tum ho
Saturday, 30 May 2015
Ab Apni Yaad Ki Khusbu bhi humse chinoge kya, Kalam e takdeer se gar nawaze,Khuda mujhe, Agar apni kismat likhnay ka Zara sa bhi haq ho mujhe, Mere Nazdeek Aa Ke Dekh Mere Ehsas Ki Shiddat, Jis ne Dekha hi na ho Ashkon ki Barsaat kaMausam, Tu lakh khafa sahi, Magar ek baar dekh to
Ab Apni Yaad Ki Khusbu bhi humse chinoge kya
Kitab-e Dil Mein ye sukha Gulab to rehne do
Kalam e takdeer se gar nawaze,Khuda mujhe,
Meri takdeer ke har panne par,Likkhun'ga tujhe.
Agar apni kismat likhnay ka Zara sa bhi haq ho mujhe,
Toh har bar apne Naam ke saath tera Naam likhun
Mere Nazdeek Aa Ke Dekh Mere Ehsas Ki Shiddat...
Mera Dil Kitna Dharakta Hai Sirf Tere Naam Ke Sath…
Jis ne Dekha hi na ho Ashkon ki Barsaat kaMausam,
Woh Shakhs Kya Jaane Dard Ki Lazzat Kya Hai..!!
Bahut udaas hai koi tere jane se.
Ho sake to lout aa kisi bahane se.
Bahut udaas hai koi tere jane se.
Ho sake to lout aa kisi bahane se.
Tu lakh khafa sahi, Magar ek baar dekh to
sahi koi toot gaya h tere rooth jane se
Monday, 18 May 2015
Che akhlama qadam no khpa ph khpa raata odregi, Takal dh maikadey okrram toba raata odregi, pashto heart touching poetry, best pashtu poetry
Che akhlama qadam no khpa ph khpa raata odregi,
Takal dh maikadey okrram toba raata odregi,
Baang awrama kho laarr nh shama munz raana qaza shi,
Makhaam ke dh balai ph gut hagha raata odregi,
Har so ka sabrawama zaan lh taa na nh sabregam,
Pukhtun yama aakhir khpala waada raata odregi,
Darzama mula taa la kho kamzory sham yawazy,
Dh nafs sara shetan 6 dwa ph dwa raata odregi,
Toba ph toba maata krram lh halqa ye ter baasam,
Mehfil ke dh rindano 6 kaasa raata odregi,
SARDARA, 6 nazar me ghanam rango baande lagi,
Tapa, ghazal, sandara, yaa naghma raata odregi.
Da che da janan sra me wraana da sama da hapal zan sara me wraana da, Atal Poetry, Israr Atal, Israr Atal Poetry, Pashto Poetry By Israr Atal, ATal Heart Touchin Poetry, Pashto Poetry, Sadest Pashto Poetry By Israr Atal,
Da che da janan sra me wraana da
sama da hapal zan sara me wraana da
haga selabona me la heer na de
wrezo ao baran sara me wraana da
dalata pekhawar ye rala wraan krholo
halat wai afghan sara me wraan da
bia de yaw ghareeb bachi pa jaar lagya
wai che de khan sara me wraana da
bya haple hamzole ta lagya wa che hafa ema
marrhe nan"atal"sara me wraana da
Zaka Mehfal ke na dar goram charta torba shama. Raaz ba khkara shi da har cha pa Jaba shor ba shama, Israr Atal Poetry, Israr Atal Pashto Poetry, Pashto Poetry, Pashto Ghazal, Pashto Heart Touching Poetry,
Zaka Mehfal ke na dar goram charta torba shama.
Raaz ba khkara shi da har cha pa Jaba shor ba shama.
Kher ka Didan di pa Maa band shi hes parwah mi nashta.
Hasi hum yama Lewanai pasi lag nor ba shama.
Raa na ba ona garzi Yaara daasi Speni Jaami.
Zan ba Raswa krram sta da Speni Laman Toor ba shama.
Shakona Ma kawa Inkaar da Meene zaka kawom.
Ta wayal Sta pa sar da Kali da Peghor ba shama.
Na da cha wom na da cha yam na ba ye sham .
ATALA.Sar ba ye kegdama pa Gheg da khpali Mor ba shama.
Ay nawi kaala ta ta zka harkaly kawoma, Zma pa zra ke yw warra shan tamanna pratada, pashto poetry,
Ay nawi kaala ta ta zka harkaly kawoma,
Zma pa zra ke yw warra shan tamanna pratada,
Sta na sparly sta na Gulan na ghwaram,
Sta na lalay sta na janan na ghwaram,
Sta na mangay sta na gudar na ghwaram,
Da yr didan pa mazigr na ghwaram,
Za akhtarona aw mele na ghwaram,
Khu yw menat drta kawoma kaala,
6 raze rasha khamakha rasha kho,
Zan sara aman khamakha rawala,
6 aman v mangay gudar ba jor shi,
Da yr didan pa mazigr ba jor shi,
Sparly ba rashi sra gulan ba oshi,
Da fitrati khk0la baran ba oshi,
Nu bya ba za tre yw tasvir jorawom,
Zka 6 ma na hm 6a der pa klaka,
Da zal da nawi kaal tasvir ghukhtay dy..
(ya ALLAH da navy kal zamunga dapara da
aman aw khushalai zareya ogrze,AMEEN.
Koi Zabtt de na jalaal de, mujhe sirf itna kamaal de Mujhe apni raah pe daal de keh zamana meri misaal de, urdu best poetry,
Koi Zabtt de na jalaal de, mujhe sirf itna kamaal de
Mujhe apni raah pe daal de keh zamana meri misaal de
Teri Rehmaton ka nazool ho, mujhe mehnaton ka sila mile
Mujhe maal o zar ki hawas na ho, mujhe bas tu rizq-e-hilaal de
mere zehen mai teri fikar ho, meri saanson mai tera zikar ho
Tera khof meri nijat ho, sabhi khof dil se nikaal de
Teri bargaah mai Aey Khuda, meri roz o shab hai yehi duaa
Tu raheem hai, tu kareem hai, mujhe mushkilon se nikaal de.
Friday, 15 May 2015
Wo pyar ka saboot dikhaya krta tha Aansu baha kr hmen manaya krta tha, heart touching poetry
""" GHAZAL"""
Wo pyar ka saboot dikhaya krta tha
Aansu baha kr hmen manaya krta tha.
Ye zindgi sirf tm se wabsta hy
Aksr ye bat hmen bataya krta tha.
Aksr ye bat hmen bataya krta tha.
Uski baaton main kuch aisa asr tha
Main barish k bina hi bheeg jaya krta tha.
Main barish k bina hi bheeg jaya krta tha.
Sone ki fursat kise thi
Wo hmen sari raat jagaya krta tha.
Wo hmen sari raat jagaya krta tha.
Becheni jab had se brh jati thi
Wo G bhr k galy lgaya krta tha.
Wo G bhr k galy lgaya krta tha.
Wo itni muhbt krne wala badal gya
Jo hr baat pr meri qasam khaya krta tha.
Jo hr baat pr meri qasam khaya krta tha.
Agar majaz pe jaon to sath ruogi. Mai dil ka dard sonaon to sath ruogi.
Agar majaz pe jaon to sath ruogi.
Mai dil ka dard sonaon to sath ruogi.
Mera bhi seenay mai ek dil darakh raha tha kbi.
Agar woh aj jagaon to sath ruogi.
Kisi ke intezar mai jo dil pay guzra tha.
Agar woh tum ko sonaon to sath ruogi.
Ho ek din jo un ki kochi mi mara os ni.
Agar oh pathar dikhain to sath ruigi.
Mi apni ishq e ek tarfa mi rota hy raha.
Un ki nafrat mi bataon to sath ruogi..
Thursday, 7 May 2015
Sunday, 3 May 2015
Friday, 1 May 2015
Monday, 20 April 2015
Saturday, 18 April 2015
Sunday, 12 April 2015
chemical Ghazal, a dil-e-organic tujhe hua kya hai, akhir reduction ki waja kya hai., urdu subject poetry, urdu chemistry poetry
'"chemical Ghazal'"
A dil-e-organic tujhe hua kya hai . .
Akhir reduction ki waja kya ha?
Ham hain carbon or wo hain hydrogen....
Ya Illahi ye hybridization kya hai?
Hm b rakhte hain apne valence shell main electron. . .
Kaash kbhi poocho k hmari valency kya hai. . ?
Hamein to un se thi Ionic bond ki umeed. . . .
" Chemist "
Jo nahi jaante k hmari
electronegativity
kya hai.....
DEDICATE 2 ALL CHEMISTRY EFFECTED STUDENTS;;)
Subscribe to:
Posts (Atom)