Saturday, 26 September 2015

Mujhey talash hai uski jo mere jaisa ho Mere khulus ko pehchanta ho bus kafi hai Wo koi b ho,kahin b ho,kaisa b ho Mere khatir marney ka hosla b rakhta ho Agar kabhi rooth jaoon mein us se to Muskra k manayee,wo aisa ho Jo baat karey to wo nibha b sakey Iradon mein wo apney chahaton jaisa ho Dukhon mein hansney ka hunar janta ho


Mujhey talash hai uski jo mere jaisa ho
Mere khulus ko pehchanta ho bus kafi hai
Wo koi b ho,kahin b ho,kaisa b ho
Mere khatir marney ka hosla b rakhta ho

Agar kabhi rooth jaoon  mein us se to
Muskra k manayee,wo aisa ho
Jo baat karey to wo nibha b sakey
Iradon mein wo apney chahaton jaisa ho
Dukhon mein hansney ka hunar janta ho
Ik aisa hamsafar jo samander ki tarah gehra ho 
Us k piyar ki thandak ho mere liye aisi k wo  bilkul aasman k chand jaisa ho
Wo sirf mera ho,
jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar sath chalne ka azam rakhta ho
Jo khuwab dene ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sakay wo aisa ho

No comments: