Sunday, 1 November 2015

Soyi Nahi Hoon Mujhe Sulaa Do Maa Ajao Mujhe Lori Sunaa do Maa, Ashk Meri Ankhon Se Jam se Gaye Hain Kar ke Jabar mujhe Rula Do maa, urdu ghazal, urdu poetry about mother.


Soyi Nahi Hoon Mujhe Sulaa Do Maa
Ajao Mujhe Lori Sunaa do Maa


Ashk Meri Ankhon Se Jam se Gaye Hain
Kar ke Jabar mujhe Rula Do maa

Dekh Kitni Be Tarteeb Ho Gayi Hai Zindagi Meri
Bikhre Hain mere Baal bana do maa

Bohat Darr Lagta hai mujh ko Duniya Se
Apne Aanchal Mai Mujh ko Chupa lo Maa

Jall Rahi hoon Main ik be-naam si tapish se
Choom ke mera maatha bhuja do Maa

No comments: