suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain
so uske shahr men kuch din Thahar ke dekhte hain
suna hai rabt hai us ko ḳharab-hāloñ se
so apne aap ko barbād kar ke dekhte hain
suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki
so ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte haiñ
suna hai us ko bhī hai sher o sha.iri se shaġhaf
so ham bhī mo.ajize apne hunar ke dekhte haiñ
suna hai bole to baton se phuul jhaḌte haiñ
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte haiñ
suna hai raat use chāñd takta rahtā hai
sitāre bām-e-falak se utar ke dekhte haiñ
suna hai din ko use titliyan satatī hain
suna hai raat ko jugnu Thahar ke dekhte hain
suna hai hashr hain us kī ġhazal sī ankhen
suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain
suna hai raat se baḌh kar hain kakuleñ us ki
suna hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte hain
suna hai us kī siyah-chashmagī qayāmat hai
so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain
suna hai us ke labon se gulab jalte hain
so ham bahār pe ilzam dhar ke dekhte hain
suna hai aa.ina timsal hai jabīñ us ki
jo saada dil haiñ use ban-sañvar ke dekhte hain
suna hai jab se hamā.il haiñ us ki gardan men
mizaj aur hī laal o guhar ke dekhte hain
suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkāñ men
palañg zaviye us ki kamar ke dekhte hain
suna hai us ke badan kī tarāsh aisi hai
ki phuul apni qaba.eñ katar ke dekhte hain
vo sarv-qad hai magar be-gul-e-murad nahīn
ki us shajar pe shagūfe samar ke dekhte hain
bas ik nigah se luTta hai qafila dil ka
so rah-ravan-e-tamanna bhī Dar ke dekhte hain
suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht
makiñ udhar ke bhī jalve idhar ke dekhte hain
ruke to gardishen us ka tavaf karti hain
chale to us ko zamane Thahar ke dekhte hain
kise nasib ki be-pairahan use dekhe
kabhi kabhi dar o dīvar ghar ke dekhte hain
kahaniyan he sahi sab mubalġhe he sahi
agar vo khwab hai tabir kar ke dekhte hain
ab us ke shahr men Thahren ki kuch kar jaa.en
'faraz' aao sitare safar ke dekhte hain
No comments:
Post a Comment