Ab ke hum bichhde to shayad kabhi khwabon main milen
Jis tarah sukhe hue phool kitabon main milen
Dhundh ujde hue logon mein wafa ke moti
Ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein milen
Ghum-e-duniya bhi ghum-e-yar mein shamil kar lo
Nasha badhta hai sharabein jo sharabon mein milen
Tu Khuda hai na mera ishq farishton jaisa
donon insan hain to kyun itne hijabon mein milen
Aaj hum daar pe khinche gae jin baton par
Kya ajab kal vo zamane ko nisabon mein milen
Ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai "Faraz"
Jaise do shaḳhs tamanna ke sarabon mein milen
No comments:
Post a Comment