Tuesday, 26 November 2019

Khuda say daikh kitna dar raha hoon main tijori aur jaib dono bhar raha hoon mai



* خدا سے دیکھو کتنا ڈر رہا ھوں میں

تجوری جیب دونوں بھر رہا ھوں میں*

Khuda say daikh kitna dar raha hoon main

tijori aur jaib dono bhar raha hoon mai


Padosi bhookha hai, teesra din hai aaj
aur chothi baar umrah kar raha hoon main


Namazai hoon mai punjgana
magar jhooti tijarat kar raha hoon mai

Khuda se daikh kitna dar raha hoon main...!

Masjid sang-e-mar mar ki bna kr
Padosi ko magar tang kar raha hoon mai

Werasat behen ki chupke se kha kar
maafi ki tawaqo kar raha hoon mai

Jo ho shadi to soodi qarze lekar
namood-o-numaish kar raha hoon mai

Khuda se daikh kitna dar raha hoon main...!

Nabi ki zindagi ko tark kar ke
Nabi se ishq ka dam bhar raha hoon mai

Ye chahta hoon keh kaafir ho Musalmaan
Magr islam se khud dar raha hoon mai

Mujhe ALLAH se hai umeed-e-rehmat
Magr din raat chori kar raha hoon mai

Khuda se daikh kitna dar raha hoon main...!

No comments: