Monday 2 December 2013

Jab bhi tu aks ke saamne jaati hogi, teri parchhai ko bhi, ab to sharm aati hogi, tu bewafa hai, Bewafa Poetry, Urdu Ghazals,


Jab bhi tu aks ke saamne jaati hogi
teri parchhai ko bhi, ab to sharm aati hogi

jo tu mooh ferti hogi aaine se pare
"tu bewafa hai", bas yehi awaaz aati hogi

kis kis ko safaai degi bewafai ki
kis kis ko samjhaayegi tu

dil ko tere to sach maloom hai kamzarf
kab talak jhooth bol paayegi tu

sone ki koshish jab raat ko ki hogi
bebasi mein, neend nahi aati hogi

jo tu mooh ferti hogi aaine se pare
"tu bewafa hai", bas yehi awaaz aati hogi

khudgarzi mein sab kuch bhula diya tune
ek masoom sa dil jala diya tune

tere hunar ki aur kya taareef karu
meri hasti ko pal mein mita diya tune

jab bhi baat meri chalti hogi teri mehfil mein
beparwah si tu, mazaak udaati hogi

jo tu mooh ferti hogi aaine se pare
"tu bewafa hai", bas yehi awaaz aati hogi

main farishta nahi, tujhe maaf kar saku kabhi
tu bhi mare kisi ke ishq mein tabaah ho kar

tadpti rahe tu , gidgidaati rahe pairo mein
aur wo nikal jaaye beparwah ho kar

kabool hogi meri yeh dua yakeen hai
kahi par to dil ki awaaz pahunch paati hogi,

jo tu mooh ferti hogi aaine se pare
"tu bewafa hai", bas yehi awaaz aati hogi.

No comments: