Baat karni mujhe mushkil kabhi aise to na thi Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aise to na thi
Le gayaa chheen ke kaun aaj tera sabr.O.qaraar
Be.Qaraari tujhe ai dil kabhi aisii to na thi
Us ki ankhon ne Khudaa jaane kiya kya jaadu
K tabiyat meri maayil kabhi aise to na thi
Aks.e.rukhsaar ne kis ke hai tujhe chamkayaa
Taab tujh mein mah.e.kaamil kabhi aise to na thi
Ab ki jo raah.e.muhabbat mein uthaayi takleef
Sakht hoti hamen manzil kabhi aise to na thi
Paa.e.kubaan koi zindaan mein naya hai majnu
Aatii aavaaz.e.salaasil kabhi aise to na thi
Nigah.e.yaar ko ab kyun hai tagaful ae dil
Wo tere haal se Ghaafil kabhi aise to na thi
Chashm-e-qaatil meri dushman thi hamesha lekin
Jaise ab ho gayi qaatil kabhi aise to na thi
Kyaa sabab tu jo bigadta hai ‘Zafar’ se har bar
Khoo teri huur-shamaail kabhii aise to na thi
-- Bahadur Shah Zafar
No comments:
Post a Comment