Thursday, 22 March 2018

Aaj zara fursat payi thi, aaj use phir yaad kiya Band gali k aakhri ghar ko khol k phir aabaad kiya, urdu ghazal, urdu poetry, best urdu poetry,


Aaj zara fursat payi thi, aaj use phir yaad kiya
Band gali k aakhri ghar ko khol k phir aabaad kiya


Khol k khirki chand hansa, phir chand ne donon hathon se
Rang uraye phool khilaye chiryon ko aazad kiya

Bare bare gham khare hue the rasta roke rahon mein
Choti choti khushiyon se hi hum ne dil ko shad kiya

Baat bahut maamooli si thi, ulajh gayi takraaron mein
Ek zara si zid ne aakhir donon ko barbaad kiya

Daanaon ki baat na maani... kaam aayi nadani hi
Suna hawa ko parhaa nadi ko mausam ko ustaad kiya

                                                                         (Nida Fazli)

No comments: