Friday, 23 March 2018

Be.naam sa yeh dard thehar kyu nahi jataa, Jo beet geya hai woh guzar kyu nahi jataa,


Be.naam sa yeh dard thehar kyu nahi jataa
Jo beet geya hai woh guzar kyu nahi jataa


Sab kuch to hai kya dhoondti rahti hain nigaahain
Kya baat hai mai waqt pe ghar kyu nahi jataa

Woh ek hi chehraa to nahi saare jahaan mein
Jo door hai woh dil se utar kyu nahi jataa

Mein apni hi uljhi huii raahon ka tamaashaa
Jaate hain jidhar sab mai udhar kyu nahi jataa

Woh naam jo barson se samaayaa hai zehen mein
Woh khwaab agar hai to bikhar kyu nahi jataa

Tera hijr mera naseeb hai, Tera Gham hi meri hyaat hai, urdu poetry, best urdu shairy, urdu yaad poetry


Tera hijr mera naseeb hai, 
Tera Gham hi  meri hyaat hai


Mujhe teri doori ka Gham ho kyu 
Tu kahi bhi ho mere saath hai

Mere vaaste tere naam par 
Koi harf aaye! nahi, nahi!!

Mujhe khauf e duniya nahi magar
Mere roo-baru teri zaat hai

Tera vasl ae meri dilruba 
Nahi meri qismat to kya hua

Meri mahjabeen yahi kam hai kya
Teri hasraton ka to saath hai

Tera ishq mujh pe hai mehrbaan
Mere dil ko haasil hai do jahan

Meri jaan.e,jaan isi baat par 
Meri jaan jaaye to baat hai

Thursday, 22 March 2018

Mohabbat mein wafadaari se bachiye, Jahan tak ho adakaari se bachiye,best urdu poetry,urdu poetry,


Mohabbat mein wafadaari se bachiye
Jahan tak ho adakaari se bachiye...


Har ek surat bhali lagti hai kuchh din
Lahu ki sho’bdaa-kaari se bachiye...

Sharaafat, aadmiyat, dard – mandi 
Bare shahron mein bimaari se bachiye..

Zaroori kya har ek mehfil mein aana
Takalluf ki  rawadaari se bachiye...

Bina pairon ke sar chalte nahi hain
Buzurgon ki samajhdaari se bachiye...

Aaj zara fursat payi thi, aaj use phir yaad kiya Band gali k aakhri ghar ko khol k phir aabaad kiya, urdu ghazal, urdu poetry, best urdu poetry,


Aaj zara fursat payi thi, aaj use phir yaad kiya
Band gali k aakhri ghar ko khol k phir aabaad kiya


Khol k khirki chand hansa, phir chand ne donon hathon se
Rang uraye phool khilaye chiryon ko aazad kiya

Bare bare gham khare hue the rasta roke rahon mein
Choti choti khushiyon se hi hum ne dil ko shad kiya

Baat bahut maamooli si thi, ulajh gayi takraaron mein
Ek zara si zid ne aakhir donon ko barbaad kiya

Daanaon ki baat na maani... kaam aayi nadani hi
Suna hawa ko parhaa nadi ko mausam ko ustaad kiya

                                                                         (Nida Fazli)

Saturday, 3 March 2018

Baat karni mujhe mushkil kabhi aise to na thi Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aise to na thi, urdu poetry by bahadur shah zafar, best urdu ghazal, heart touching poetry,

Baat karni mujhe mushkil kabhi aise to na thi Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aise to na thi


Le gayaa chheen ke kaun aaj tera sabr.O.qaraar
Be.Qaraari tujhe ai dil kabhi aisii to na thi

Us ki ankhon ne Khudaa jaane kiya kya jaadu
K tabiyat meri maayil  kabhi aise to na thi

Aks.e.rukhsaar ne kis ke hai tujhe chamkayaa
Taab tujh mein mah.e.kaamil kabhi aise to na thi

Ab ki jo raah.e.muhabbat mein uthaayi takleef
Sakht hoti hamen manzil kabhi aise to na thi

Paa.e.kubaan koi zindaan mein naya hai majnu
Aatii aavaaz.e.salaasil kabhi aise to na thi

Nigah.e.yaar ko ab kyun hai tagaful ae dil
Wo tere haal se Ghaafil kabhi aise to na thi

Chashm-e-qaatil meri dushman thi hamesha lekin
Jaise ab ho gayi qaatil kabhi aise to na thi

Kyaa sabab tu jo bigadta hai ‘Zafar’ se har bar
Khoo teri huur-shamaail kabhii aise to na thi

                                              -- Bahadur Shah Zafar