Faaslay aise bhi hongay, ye kabhi socha na tha
samne betha tha mere aur wo mera na tha
khud charha rakhe thay tann per ajnabiyat ke ghilaaf
warna kab ek dosre ko hum ne pehchan na tha
raat bhar pichli he aahat kaan mai aati rahi
jhaank kar dekha gali mai, koi bhi phirta na tha
ye sabhi veeraaniyan uske juda hone se thi
aankh dhundlai hoi thi sheher dhundlaya na tha
sainkron toofan lafzo ke dabe thay zer.e.lab
aik pathar tha khamoshi ka keh jo hilta na tha
yaad kar ke aur bhi takleef hoti thi
ab siwae bhool jane ka chaara na tha
No comments:
Post a Comment