Wo humsafar tha magar us se hum-nawaai na thi
Ke dhoop chhaaon ka aalam raha, judaai na thi
Muhabbaton ka safar is tarah bhi guzraa tha
Shikasta dil the musaafir, shikasta-paayi na thi
Adavatein thi, taghaful tha, ranjishein thi bohat
Bichharne wale mein sab kuch tha be-wafaai na thi
Bichharte waqt un ankhon mein thi hamari Ghazal
Ghazal bhi woh, jo kisi ko abhi sunaai na thi
Kise pukaar raha tha woh doobta hua din
Sadaa to aayi thi lekin koi duhaai na thi
Ajeeb hoti hai raah-E-sukhan bhi, dekh ‘Naseer’
Wahaan bhi aagaye aakhir, jahaan rasaai na thi
No comments:
Post a Comment