Sunday, 29 October 2017

Wo humsafar tha magar us se hum-nawaai na thi Ke dhoop chhaaon ka aalam raha, judaai na thi, urdu best ghazal, best urdu poetry,


Wo humsafar tha magar us se hum-nawaai na thi
Ke dhoop chhaaon ka aalam raha, judaai na thi


Muhabbaton ka safar is tarah bhi guzraa tha
Shikasta dil the musaafir, shikasta-paayi na thi

Adavatein thi, taghaful tha, ranjishein thi bohat
Bichharne wale mein sab kuch tha be-wafaai na thi

Bichharte waqt un ankhon mein thi hamari Ghazal
Ghazal bhi woh, jo kisi ko abhi sunaai na thi

Kise pukaar raha tha woh doobta hua din
Sadaa to aayi thi lekin koi duhaai na thi

Ajeeb hoti hai raah-E-sukhan bhi, dekh ‘Naseer’
Wahaan bhi aagaye aakhir, jahaan rasaai na thi

Saturday, 14 October 2017

Faaslay aise bhi hongay, ye kabhi socha na tha samne betha tha mere aur wo mera na tha, best urdu ghazal, urdu poetry, sad urdu ghazal, urdu shairy, heart touching urdu poetry, adeem poetry, urdu adab


Faaslay aise bhi hongay, ye kabhi socha na tha
samne betha tha mere aur wo mera na tha


khud charha rakhe thay tann per ajnabiyat ke ghilaaf
warna kab ek dosre ko hum ne pehchan na tha

raat bhar pichli he aahat kaan mai aati rahi
jhaank kar dekha gali mai, koi bhi phirta na tha

ye sabhi veeraaniyan uske juda hone se thi
aankh dhundlai hoi thi sheher dhundlaya na tha

sainkron toofan lafzo ke dabe thay zer.e.lab
aik pathar tha khamoshi ka keh jo hilta na tha

yaad kar ke aur bhi takleef hoti thi
ab siwae bhool jane ka chaara na tha

Saturday, 7 October 2017

Teri rahmat athhaah! Ya Allaah Main ghariq e gunaah Ya Allaah


Teri rahmat athhaah! Ya Allaah
Main ghariq e gunaah Ya Allaah


Dur beeni ke par bahut chhote
Saazishen, be panaah Ya Allaah

Kitni aabaad hain kamin gaahen
Lut gayi khanqaah!! Ya Allaah

Kiya kare ab tera sipah saalaaar
Dar gayi hai sipaah!! Ya Allaah

Zindagi kitni jabr hai, phir bhi
Kyon hai jine ki chaah Ya Allaah

Aansuon ki pukaar ab sun le!!
Khol bakhshish ki raah Ya Allaah

Monday, 2 October 2017

Jab kabhi zindagi ki rahon pe, chalte chalte mai thak c jati hoon, zindagi ki kahani, khwabon ki taber, best urdu lines, urdu poetry, dream poetry


Jab kabhi zindagi ki rahon pe,
chalte chalte mai thak c jati hoon,


mujhko lagta hai sab adhoora hai
jo mila hai, jo milne wala hai

be-sabab hain musafatein saari
kon pata hai raahatein saari

khwahishein to saraab jesi hain
sach kahon to azaab jesi hain

aise aalam mai phir mujhe aksar
ek sada c sunai deti hai

roshni c dekhai deti hai
jo utarti hai dil ke aangan mai

aur kehti hai aaj moqa hai
aaj maango jo mangna chaho

jo nahi hai tumhare hisse mai
aaj rehmat khuda ki aai hai

khud barasne tumhari hasti per
aaj maango jo maangna chaho

aur mai hoon keh maang leti hoon
apne khwabon ki chand taabeerein

Sunday, 1 October 2017

Bohut kathin tha nibhana, nibaah main ne kiya Khud apne aap ko yani tabaah main ne kiya, urdu sad ghazal, best urdu poetry, urdu shairy, best ghazal,


Bohut kathin tha nibhana, nibaah main ne kiya
Khud apne aap ko yani tabaah main ne kiya


Mila tha jab keh mujhe tu sufaid-umri mein
Tujhe bhi pyaar magar be-panaah main ne kiya

Mai tere jism ke ander tha baat karte hue
Tujhe pata bhi nahi jo gunaah main ne kiya

Jo kamsukhan the miyan wo bhi daad dene lage
Kisi ke she'r pe jab waah waah main ne kiya

Tu mere jurm ki tamheed.e.be-gunaahi dekh
Koi wakeel na koi gawaah main ne kiya

Tumhare ishq pe woh naaz hai mujhe janaa...
K is Ghuroor mein sar kaj-kulaah main ne kiya

Bayaan.e.haal mufassal nahi hua ab tak Jo mas'ala tha wohi hal nahi hua ab tak, urdu best ghazal, urdu best poetry, heart touching poetry, beautiful shairy,


Bayaan.e.haal mufassal nahi hua ab tak
Jo mas'ala tha wohi hal nahi hua ab tak


Nahi raha kabhi main teri dastaras se door
Meri nazar se too ojhal nahi hua ab tak

Bichhar ke tujh se ye lagta tha tut jaunga
Khuda ka shukr hai paagal nahi hua ab tak

Jalaye rakkha hai main ne bhi ek chiragh.e.umeed
Tumhara dar bhi muqaffal nahi hua ab tak

Mujhe tarash raha hai ye kaun barson se
Mera wajood mukammal nahi hua ab tak

Daraaz dast.e.tamanna nahi kiya main ne
Karam tumhara musalsal nahi hua ab tak