Wednesday, 27 July 2016

Mujhe ab darr nahin lagta, kisi ke door jane se, Taluq toot jane se Kisi ke maan jaane se, Kisi ke rooth jaane se, Mujhe ab Darr nahin lagta, Sad urdu poetry, udas ghazal,


Mujhe ab darr nahin lagta
kisi ke door jane se


Taluq toot jane se
Kisi ke maan jaane se

Kisi ke rooth jaane se
Mujhe ab Darr nahin lagta

Kisi ko aazmane se
Kisi ke aazmane se

Kisi ko yaad rakhne se
Kisi ko bhool jaane se

Mujhe ab darr nahin lagta
Kisi ko chorr dene se

Kisi ke chorr jaane se
Shamma ko jalaane se

Shamma ko bhujaane se
Mujhe ab darr nahin lagta

Akele muskuraane se
Kabhi ansuu bahaane se

Na iss saare zamaane se
Haqeeqat se fasaane se

Mujhe ab darr nahin lagta
Kisi ki naa-rsaayi se

Kisi ki paa-rsaayi se
Kisi ki bewafaayi se

Kisi dukh intehaayi se
Mujhe ab darr nahin lagta

Na to iss paar rehne se
Na to uss paar rehne se

Na apni zindgaani se
Na ik din maut aane se

Mujhe ab darr nahin lagta..

No comments: