Ghairon ko bhala samjhe aur mujh ko bura jaana
samjhe bhi to kya samjhe jaana bhi to kya jaana
ik umer ke dukh paa.e sote hain faraghat se
ai ghalghala-e-mahshar hum ko na jaga jaana
kya yaar ki bad-khuui kya ghair ki bad-khvahi
sarmaya-e-sad-aafat hai dil hi ka aa jaana
kuch arz-e-tamanna men shikva na sitam ka tha
main ne to kaha kya tha aur aap ne kya jaana
chilman ka ulat jaana zahir ka bahana hai
unko to baha-surat ik jalva dikha jaana
hai haq ba-taraf uske chahe sai sitam kar le
usne dil-e-ashiq ko majbur-e-wafa jaana
majruh hue maa.il kis aafat-edauran per
ai hazrat-e-man tum ne dil bhi na laga jaana
-By Meer Mehdi Majrooh
No comments:
Post a Comment