Thursday, 7 August 2014

Dayaar-e-dil Ki Raat Mai Chirag Sa Jala Gaya Mila Nahi Toh Kya Hua ? Woh Shakal Toh Dikha Gaya, Urdu Image Poetry


Dayaar-e-dil Ki Raat Mai Chirag Sa Jala Gaya

Mila Nahi Toh Kya Hua ? Woh Shakal Toh Dikha Gaya


Judaiyon Kay Zakhamou-dard Zindagi Nay Bhar Diyee
Usay Bhi Neend Aa Gai , Mujhey Bhi Sabar Aa Gaya

Woh Dosti Toh Khair Ab Naseeb Dushmana Hui
Woh Choti Choti Ranjishon Ka Lutf Bhi Chala Gaya

Pukaarti Hain Fursatain, Kahan Gayin Wo Sohbatain
Zameen Nigal Gai Unhain, Keh Asmaan Kha Gaya ?

Yeh Subah Ki Safaidiyan, Yeh Dopeher Ki Zardiyan
Mai Aainay Mai Dhoondhta Hun, Mai Kahan Chala Gaya ?

Yeh Kis Khushi Kay Rait Par Ghamon Ko Neend Aa Gai
Woh Leher Kis Taraf Gai ? Yeh Mai Kahan Sama Gaya ?

Jo Aur Kuch Nahi Toh Koi Taaza Dard Hi Milay
Mai Aik Hi Tarhan Ki Zindagi Say Tang Aa Gaya.

No comments: