Saturday, 31 May 2014

Bus Yunhi Chalte Rahain, Din Yunhi Kat Te Rahain, Bas Yunhi, By Shehzad Mughal


Bas Yunhi, By Shehzad Mughal 

Bus Yunhi Chalte Rahain 
Din Yunhi Kat Te Rahain 


Lamhon Ko Dhalna Do Sadiyon Mein 
Ansoo Na Ana Do Ankhon Mein 

Bus Yeh Chand Khushiyan Chun Lo 
Chun Lo 

Bus Yunhi Milte Rahein 
Din Yunhi Dhaltey Rahain 

Khaboon Ko Behney Do Khazaon Mein 
Zulfoon Ko Urrnay Do Fizaon Mein 

Bus Yeh Chand Khushiyan Chun Lo 
Chun Lo 

Bus Yehi Ihsaas Ho 
An Kahe Alfaz Hoon 

Baarish Ho Jazboon Ki Hijabon 
Khahish Ho Kurb Ki Adayon Mein 

Bus Yeh Chand Khushiyan Chun Lo 
Chun Lo 

Bus Yeh Chand Khushiyan Chun Lo 
Chun Lo 
Bus Yunhi

Friday, 30 May 2014

Roshni Chor ke zulmat mai ajate hain, Saadgi dekh teri bat mai ajate hain, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals,


Roshni Chor ke zulmat mai ajate hain
Saadgi dekh teri bat mai ajate hain...

روشنی چھوڑ کے ظلمات میں آجاتے ہیں 
سادگی دیکھ تری بات میں آجاتے ہیں

aik ghum ye bhi ghareebi ka musibat hai mujhe
Roz kuch ghum younhee kherat mai ajate hain
ایک غم یہ بھی غریبی کا مصیبت ہے مجھے 
روز کچھ غم یونہی خیرات میں آجاتے ہیں

Aaj ke dor mai acha hai machinee hona
Log pagal hain jo jazbat mai ajate hain
آج کے دور میں اچھا ہے مشینی ہونا 
لوگ پاگل ہیں جو جذبات میں آجاتے ہیں

Zaiqa inka ghazab jante hain mante hain
Ashk aankhon se jo barsat mai ajate hain
ذائقہ ان کا غضب جانتے ہیں مانتے ہیں 
اشک آنکھوں سے جو برسات میں آجاتے ہیں

Doston ki he inayat hain aksar mujh par
Mere dushman to kabhi ghaat mai ajate hain
دوستوں کی ہی عنایات ہیں اکثر مجھہ پر 
میرے دشمن تو کبھی گھات میں آجاتے ہیں

Ye bhi khobi hai bari khoob buri dolat mai
Log paa kar usay auqat mai ajate hain
یہ بھی خوبی ہے بڑی خوب بری دولت میں 
لوگ پاکر اسے اوقات میں آجاتے ہیں

Aise iman pe lanat ho sikandar sahab
Log rakh kar jise khadshat mai ajate hain..
ایسے ایمان پہ لعنت ہو سکندر صاحب 
لوگ رکھہ کر جسے خدشات میں آجاتے ہیں

Thursday, 29 May 2014

Jab Hui Thi Mohabbat To Laga kisi Ache Kaam ka hai sila, Urdu Poetry, shairee,


Jab Hui Thi Mohabbat To Laga kisi Ache Kaam ka hai sila
Khabar Na Thi K Gunaahon Ki Saza Aisy Bhi Milti Hai


Tuesday, 27 May 2014

Ek Larki Jo Meri Ghazal Hai, Ek larki jo khilti kanwal hai, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals,


Ek Larki Jo Meri Ghazal Hai 
Ek larki jo khilti kanwal hai 


Ek larki ho taj mehak hai 
Woh tum hi to ho

Us ki gasoo kaali ghatayein 
Us ki dupatte se lehrati hawayein 

Us ki yaadein meri wafayein 
Woh larki tum hi to ho... 

Us ki ankhein chamakte moti 
Us ki palkein aankhon ko chooti 

Us ke gaal sehra-e-moti 
Woh larki tum hi to ho... 

Us ke lab gulab jaise 
Us ka mann khuli kitab jaisa 

Us ki rangat shabab jaisi 
Woh larki tum hi to ho 
Woh larki tum hi to ho...

Main Agar Toot Bhi Jaaon To Aayina Hoon, Tum Mere Baad Bhi Har Roz Sanwartey Rehna, Sad Urdu Poetry


Main Agar Toot Bhi Jaaon To Aayina Hoon, 
Tum Mere Baad Bhi Har Roz Sanwartey Rehna

Gull-o-Gulzaar Gawahi Dengay, Teri Galiyaan Tere Bazar Gawahi Dengay, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals, Sad Urdu Poetry


Gull-o-Gulzaar Gawahi Dengay 
Teri Galiyaan Tere Bazar Gawahi Dengay 


Kitne Tarpe Hain Teri Muhabbat Me Hum
Mere Ghar K Dar-o-Deewar Gawahi Dengay 

Mere Jazbon Meri Sochon Pe Musallat Hai To 
Meri Nazmain Mere Ashaar Gawahi Dengay 

Dunya Me Sirf Tum Se Mohabbat Ki Hai 
Es Pe So Baar Mere Yaar Gawahi Dengay 

Tumhein Paany Ki Jahaan Me ne Duayein Maangi 
Wo Masjidain Wo Darbaar Gawahi Dengay...

Friday, 23 May 2014

Wo jo roop zar.e.naqab tha, Usay dekhna mera khuwab tha, Urdu Ghazals, Sad Urdu Poetry


Wo jo roop zar.e.naqab tha 
Usay dekhna mera khuwab tha 


Jo mila tha hijar ki shakal me
Meri chahaton ka azab tha 

Ye sawal tha k mila karo 
Na mila karo ye jawab tha 

Jise dekh kar mai tarap utha 
Meri ankh mai wo hajab tha

Mere pas thi meri tashangi 
Tere pas jam.e.sharab tha 

Tera pyar tha meri shairy 
Tera ishq meri kitab tha

Thursday, 22 May 2014

Ab Ke Baar Eid Per Mehndi Lagao To Mujhe Yaad Karna, Jo Milne Jaao Apni Saheliyon Se To Mujhe Yaad Karna,


Ab Ke Baar Eid Per Mehndi Lagao To Mujhe Yaad Karna,
Jo Milne Jaao Apni Saheliyon Se To Mujhe Yaad Karna,


Eid To Sab K Liye Khushi Le Kar Aaye Gi, 
Tum Jab Tanha Baitho Gi To Mujhe Yaad Karna, 

Chand Raat Doosron Ki Tarah Tum Bhi Masroof Ho Gi, 
Kabhi Tumein Fursat Mile To Mujhe Yaad Karna, 

Eid Ki Chooriyan Jab Le Kar Aao Gi, 
Na Ho Koi Pehnane K Liye To Mujhe Yaad Karna, 

Tere Haseen Hathon Pe Rachi Mehndi Ko, 
Koi Thukra De To Mujhe Yaad Karna 

Jala k Ek chirgh Eid per apni chukat Per Rakh jana, 
Bujh Gaya Agar Hawa Se To Mujhe Yaad Karna, 

Khol K Reshmi Baalon Ko Eid K Roz Jab Baitho Gi Sab k Beech, 
Sanware Ga Nahi Koi Baal Tab Mujhe Yaad Karna, 

Likhna Naam Mehndi se Apne Hathon Per Mera, 
Jab Mitay Ga Nahi tab Mujhe Yaad Karna

Tuesday, 20 May 2014

Suno, Aey Mom Ki Gurya, Ab Is Dour K Andar, Urdu Ghazals, Sad Urdu Poetry


           Suno! 
Aey Mom Ki Gurya, 
Ab Is Dour K Andar, 


Koi Majnu Nahi Banta, 
Koi Ranjha Ni Banta, 

Qadam Do-Char Chalne Se, 
Safar Sanjha Ni Hota, 

To In Bekar Sochon Pe, 
Suno! Rone ka Dar Kesa? 

Jisse Paya Ni Tum Ne.. 
Usse Khone Ka Dar Kesa?

Ek Mehboob Laaparwah, Ek Mohabbat Bepanah, Urdu Ghazals, Sad Urdu Poetry


Ek Mehboob Laaparwah, 
Ek Mohabbat Bepanah, 


Dono Kafi Hain 
Sukoon Barbaad Karne ke liye

Monday, 19 May 2014

Guzri hai kal hum pe wo raat ajeeb si, Karti rahi wo hum se baat ajeeb si, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals, Sad Urdu Poetry


Guzri hai kal hum pe wo raat ajeeb si 
Karti rahi wo hum se baat ajeeb si 


Mili bhi to kuch aisa samajh sake na hum 
Lagti hai uski aaj tak mulaqat ajeeb si 

Aur bhi hain dunya me phir mera intekhab kyon 
Shikayat usko thi mere sath ajeeb si 

Har chehre se dhoka khaana ye muqaddar tha apna 
Mili bhi to hum ko ye hayaat ajeeb si 

Ab saari umar "Ahmed" tanha hi jeena hoga 
Bicharte waqt wo kar gayi ye baat ajeeb si.

Dil Dharakne pe Bhi Pabandi Laga Di Jaye, Lash Ehsas Ki, Sooli Pe Charrha Di Jaye, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals, Sad Urdu Poetry


Dil Dharakne pe Bhi Pabandi Laga Di Jaye, 
Lash Ehsas Ki, Sooli Pe Charrha Di Jaye, 


Zehen Ki Jaama Talashi Ka Bna Kr Qanoon 
Sochne Walon Ko Mouqe Pe Saza Di Jaye, 

Aarzu Jo Kary, Deewano Men Kardo Shamil, 
Khwab Jo Dekhay Usay Jail Dikha Di Jaye, 

Roz Khud Sozion Se Uthti Hai, Ham Par Ungli, 
Khud Kushi Jo Karay, Gardan Hi Urra Di Jaye, 

Raah Batlaanay, Madad Karne Ki Aadat Na Pare, 
Rasta Poochnay Pe Qaid Barha Di Jaye, 

Log Kushbuon K Taaqub Men Nikal Partay Hen, 
Phool Par DekhtaY Hi Goli Chala Di Jaye, 

Saans LenY K Bhi Aoqaat Muqrar Kar K 
Habs Dar Habs Ko Dozakh Ki Hawa Di Jaye

Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhe, Kisi ko sairaab kare woh kise pyasa rakhe, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals, Sad Urdu Poetry


Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhe, 
Kisi ko sairaab kare woh kise pyasa rakhe 


Umer bhar kaun nibata hai taluk itna 
Ae meri jan ke dushman tujhe allah rakhe, 

Humko acha nahin lagta koi humnam tera, 
Koi tujhsa ho tu phir nam be tujhsa rakhe 

Dil b pagal hai us shaks se wabasta hai, 
Jo kise aur ka na hone de na apna rakhe.

Kitab-e-dil main jo nafrat ka bab rakhta tha, Wo chahaton ka mokamal hisab rakhta tha, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals, Sad Urdu Poetry


Kitab-e-dil main jo nafrat ka bab rakhta tha, 
Wo chahaton ka mokamal hisab rakhta tha, 


Faraib daita raha dil lagi k pardon main, 
Wo shakhs chahray pa kitnay niqab rakhta tha, 

Us k hathon main pathar dikhai datay hain, 
Jo apnay hathon main har dam gulab rakhta tha, 

Wo shakhs jo bhatakta dikhai daita hai, 
Rah-e-wafa main qadam kamiyab rakhta tha, 

Kahan talash karon main us ko, 
Jo apni bat main apna jawab rakhta tha

Sunday, 18 May 2014

Tumhe Kisne Kaha Tha? Dopehar k Garm Suraj ki Taraf Dekho, By mohsin Naqvi poetry, Urdu Poetry, Urdu Heart Touching Poetry,


      Tumhe Kisne Kaha Tha...!! 

Dopehar k Garm Suraj ki Taraf Dekho, 
Or Itni Der Tak Dekho, k Binayi Pighal jaye, 


Tumhe Kisne Kaha Tha...!! 

Asman Se Toot'ti Andhi ulajhti Bijliyon Se 
Dosti kar Lo, Or Itni Dosti karlo 
k Ghar Ka Ghar He jal jaye, 

Tumhe Kisne Kaha Tha...!! 

Ik Anjaane Safar mein, Ik Ajnabi k Hamrah Door tak jao, 
Or Itni Door tak jao, k Wo Rasta Badal jaye, 

Tumhe KiSne Kaha Tha..?? 
                       BY: Mohsin Naqvi

Wohi sochain wohi batain wohi andaz ab bhi hai Bohat be-chain lagte ho koi to raaz ab bhi hai, Urdu Ghazals, Sad Urdu Poetry


Wohi sochain wohi batain wohi andaz ab bhi hai
Bohat be-chain lagte ho koi to raaz ab bhi hai 


Main kese uski yadon or wadon se nigah phairon.. 
Wo mujh se dor rehne wala mera hamraz ab b hai.. 

Ye tum ho jo is taaluq par pareshan ho. 
Magar is be-lous rishtay pe muje to naaz ab b hai

Qissa-e-hijar agar tujh ko sunany lag jayen, Urdu Ghazals, Sad Urdu Poetry


Qissa-e-hijar agar tujh ko sunany lag jayen, 
Jaan-e-jaan umar nahin is mein zamany lag jayen. 


Main ny is khouf sy gham tujh sy chupaye apny, 
Mery Aansu teri Aankhon sy na Aany lag jayen. 

Kaash aisa ho kabhi main kuch na kahoon tujh sy, 
Meri Aankhein mery ehwaal batany lag jayen. 

Rat-jagy khilny lagy phir sy meri neendon mein, 
Rog mujh ko na kahin phir sy purany lag jayen. 

Aisy Aalam mein tujhy bhoolna mumkin hai k jab, 
Saary mousam hi teri yaad dilany lag jayen. 

Ay dil-e-ishaq zada tujh sy shikayet kesi, 
Jab mery khawab hi khud mujh ko jalany lag jayen. 

Haan mujhy naaz hai Aashufta sari py apni, 
Raah dekhoon ga bhaly tujh ko zamany lag jayen

Dharkany Muskurati Hain Ab Bhi Teri Ahat Par Dard Bhool Jate Hain Ab Bhi Teri Ahat Par, Urdu Poetry, Urdu Heart Touching Poetry, Urdu Ghazals, Sad Urdu Poetry


Dharkany Muskurati Hain Ab Bhi Teri Ahat Par
Dard Bhool Jate Hain Ab Bhi Teri Ahat Par 


Shabnami Sitar0n Me Phol Khilne Lagte Hain 
Chaand Muskurata Hai Ab Bhi Teri Ahat Par 

Umar Kat Gayi Hai Magar Bachpana Nahi Jata 
Hum Diye Jalate Hain Ab Bhi Teri Ahat Par

Ghantiyan C Bajti Hain Raqs Hone Lagta Hai
Dard Jagmgate Hain Ab Bhi Teri Aahat Par

Teri Yaad Aye tu Neend Jaati Rehti Hai 
Khwab Toot Jaate Hain Ab Bhi Teri Ahat Par

Saturday, 17 May 2014

Kabi Ulfat Bhara Lehja, Kabi Utra Hoa Chehra, Samajh Mein kuch Nahi Aata, by Mohsin, best Poetry of Mohsin, urdu poetry


Kabi Ulfat Bhara Lehja, Kabi Utra Hoa Chehra, 
Samajh Mein kuch Nahi Aata, Bata Mera Gunah kia Hai 


Meri Uljhan Mita To Day, Mujhay Itna Bata To Day, 
Main Mujrim Hon, Ya Mehram Hon, Saza Kia Hay, Jazaa Kia Hai

Meri Sansain To Chalti Hain, Teri Yaadon Say Aey Humdum, 
Nahi Fursat k Ye Sochoon, Fanaa kiya Hy, Baqaa Kia Hai

Mera Ye Dil, Meri Dharkan, Meri Saansain, Ye Sab, Mohsin 
Ye Sab kuch Naam Teray Hain Bata Peechay Bacha Kia Hai..

Friday, 16 May 2014

Jise ye ehsaas khete hain wohi to piyar hota ha, Urdu Image Poetry, Urdu best ghazal


Jise ye ehsaas khete hain
wohi to piyar hota ha.


Tumhara dil jo dukhta ha
Humain bhi dard hota ha,

Tumhe milti hain jab khushiyan,
Humare lab bhi hanste hain,

Tumhe darpaish ho koi masla,
Dua ko hath uthte hain,

KHUDA ko yaad karte hain,
Yahi faryad karte hain,

Tumhe abad rakhe wo,
Hamesha shad rakhe wo,

K tumko zindagi dae wo
K har khushi dae wo,

Issye ehsaas khete hain
yahi to piyar hota hai...

Wednesday, 14 May 2014

Koi to hota Mai jis k dil ki kitab banta, Mai jis ki chahat ka khwab banta, Mai hijar k mausam ki Lambi raton main


Koi to hota! 
Mai jis k dil ki kitab banta 


Mai jis ki chahat ka khwab banta 
Mai hijar k mausam ki Lambi raton main 
yaad ban kar azab banta 

koi to hota! 

jo meri khwahish main 
uth k raton ko khuub rota 

Dukhon ki chadar lapait kar 
Hajom-e-dunya se door hota 

Main rooth jata manata muj ko 
k chahe mera Qasoor hota 

koi to hota! 

Main jis k itna Qareeb hota 
Na pass koi raqeeb hota 

Main tanha is ka naseeb hota 
ye silsila bhi ajeeb hota 

Koi to hota!

Tuesday, 13 May 2014

Khiltay Howe Har Rang Se Ho Jis Ki Adawat Us Haath Pe Mehndi Ko Rachaaon Bhi Tu Kaise, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry,


Khiltay Howe Har Rang Se Ho Jis Ki Adawat
Us Haath Pe Mehndi Ko Rachaaon Bhi Tu Kaise 


Jis Aankh Ne Dekha Hi Na Ho Rang-e-Mohabbat 
Us Aankh Me Khuwabon Ko Sajaaon Bhi Tu Kaise

Maloom Hai Din Raat Wo Rota Hai Musalsal
Par Door Say Ashkon Ko Churaaon Bhi Tu Kaise

Jis Aas Ne Torra Ho Meri Soch Ka Sheesha 
Us Aas Se Phir Aas Lagaon Bhi Tu Kaise

Monday, 12 May 2014

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry, dedicated to Sanam jung


Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain 
So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain 


Suna hai rabt hai us ko kharab halon se 
So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain 


Suna hai dard ki gahak hain chashm-e-nazuk us ki 
So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain 


Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shaga 
So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain 


Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain 
Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain 


Suna hai raat use chand takta rehta hai 
Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain 


Suna hai hashAr hain us ki ghazaal si aankhain 
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain 


Suna hai din ko usay titliyan satati hain 
Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain 


Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki 
Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain 


Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai 
So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain

Fasle Simat Gaye, Dua Se Kaam Chal Gaya, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry,


Fasle Simat Gaye, 
Dua Se Kaam Chal Gaya, 


Ashk Phir Nikal Pare, 
Phir Azaab Tal Gaya, 

Kise Yaqeen Aaye Ga, 
Kis Se Ja K Yeh Kahon, 

Ek Bujhe Chiragh Se, 
Mera Haath Jal Gaya, 

Abhi To Meri Aankh Main Neend Bhi Hai Khwab Bhi, 
Sochta Hoon Phir Kabhi To Agar Badal Gaya, 

Ek Udaas Raah Se, 
Nadi K Zard Pair Se, 

Tera Pochta Raha, 
Aur Chand Dhal Gaya, 

Tujhe Bhi Ek Shakhs Ka Faraib Raas Aa Gaya, 
Kisi K Jhoot Mot Se Rizwan Bhi Kuch Behel Gaya

Umeed Bhi Kirdaar Pe Poori Nahin Utri, Ye Shab Dil e Beemaar Pe Poori Nahin Utri, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry,


Umeed Bhi Kirdaar Pe Poori Nahin Utri 
Ye Shab Dil e Beemaar Pe Poori Nahin Utri 


Kya Khof Ka Manzar Tha Tere Shehr Men Kal Raat 
Sachaai Bhi Akhbaar Pe Poori Nahin Utri 

Tasweer Men Ek Rang Abhi Rahaa Hai 
Sh0khi Abhi Rukh'Saar Pe Poori Nahin Utri 

Par Us K Kahin Jism Kahin Khud Wo Kahin Hai 
Chirriya Abhi Meenaar Pe Poori Nahin Utri 

Ek Tere Na Rahne Se Badal Jaata Hai Sab Kuch 
Kal Dhoop Bhi Deewaar Pe Poori Nahin Utri 

Main Duniya K Miyyaar Pe Poora Nahin Utra 
Duniya Mere Miyyaar Pe Poori Nahin Utri.

Koi Saaya Sa Dil-e-Beemar Par Hai, Aankh Ka Darya Hai K Raftaar Par Hai, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry,


Koi Saaya Sa Dil-e-Beemar Par Hai, 
Aankh Ka Darya Hai K Raftaar Par Hai, 


Chooriyan Toot Kr Bikhri Hein Sehen Mein, 
Or Kajal Bhi Aankhon Ka Rukhsar Par Hai, 

Ik Ye Rashk K Tum Jeet Gae Ho Ham Se, 
Or Ik Khushi Bhi Tum Se Haar Par Hai, 

Kis Ne Kaat Leen Kaanch Se Nabzen Apni, 
Ye Kis Ka Ishq Ham Se Bhi Raftaar Par Haii, 

WasaL Ki Raat Na Kahin Se Aa Tapke , 
Kawwa Subha Se Cheekhta Deewar Par Hai

Dil maseeha hai samajta hai tabiyat uski Naram guftaar sahi, talkh hai Aadat uski, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry,


Dil maseeha hai samajta hai tabiyat uski
Naram guftaar sahi, talkh hai Aadat uski


Tum zara pyar se pocho K ye qissa kya hai
Q bhala chaand ne orhi hai shabahat uski 

Husan bikne pe jo Aaya to tawaaif ban kar
Ik tamashai ne tay ki thi ye Qismat uski

Log itne B tere sheher K sachay to nahi 
Sun to leni thi zara dair wazahat uski

Dil ye kehta hai K Loat chalen us K nagar
Yaad aati hai sar-e-shaam Rafaqat uski...!

Mosam-e-Gul mein agar Shaakh sy Tooty hoty, Kuch Shagoofy b Us Shaakh sy Phootay hoty, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry,


Mosam-e-Gul mein agar Shaakh sy Tooty hoty, 
Kuch Shagoofy b Us Shaakh sy Phootay hoty. 


Dil bara Sakht tha har Sang-o-Balla jhel gaya, 
Warna hum Shiddat-e-Ehsaas sy Tooty hoty. 

Tum ko jana tha to pehly hi Juda ho jaty, 
Is tarah Roz k marny sy to Chhooty hotay. 

Hount Chup Chaap sahi Aankh hi kuch keh jati, 
Roothnay walay Saleeqay sy to roothy hoty. 

Hum ny Hans Hans k Bharam Ehl-e-Wafa rakha he, 
Hum b ro detay agar ishiq mein Jhootay hoty..

Saturday, 10 May 2014

Kabhi Sajde Kabhi Aansu Hazaron koshishein Lekin, Jo Qismat mai nahi likha wo rone se nahi milta, Urdu Image Poetry, Two Line Poetry, Urdu SMS


Kabhi Sajde Kabhi Aansu Hazaron koshishein Lekin,Jo Qismat mai nahi likha wo rone se nahi milta....


Faqat Ek Ka Honay Main Hi Husn-e-Bandagi Hai, IQBAL, Urdu SMS, Image poetry, two lines poetry


Faqat Ek Ka Honay Main Hi Husn-e-Bandagi Hai, IQBAL,
Jo Roz Qibla Badalte Hain Wo Be-Deen Hote Hain..!

Friday, 9 May 2014

Isee liye to mera zakham bhar nahe pata, Keh mere paas mukamal tu aa nahe jata, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry,


Isee liye to mera zakham bhar nahe pata 
Keh mere paas mukamal tu aa nahe jata..! 


Tere bagair bhi gulshan ma ja nikalta hun
Gullon ka rang magar ab mujhy nahe bhata..! 

Hazar tarkk_e_talluk ki main karun koshish 
Ye dard_e_ishq mujhy chor kar nahe jata..! 

Gaye wo din ky wo milta tha roz roz mujhy
Humari galion main aksar wo ab nahe ata..! 

Jo chor jata hy rah_e_wafa muhobat main 
Wo jee to leta hy lakin sakun nahe ata..!

Wednesday, 7 May 2014

Jugnoo Nahi Hain Paas Qamar Maangte Ho Tum, Be Dast-o-Paa Se Azm-e-Safar Maangte ho Tum, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry,


Jugnoo Nahi Hain Paas Qamar Maangte Ho Tum 
Be Dast-o-Paa Se Azm-e-Safar Maangte ho Tum, 


Lagta hai Tum Faraib-e-Nazar k Shikaar ho 
Itni Siyaah Shab Se Sahar Maangte ho Tum, 

Tum Apni Maslehat Se Shajar Kaatte Rahe
Ab Chhaon Chaahiye to Shajar Maangte ho Tum, 

Mashq-e-Sitam k Waaste kitne Ajeeb ho
Youn Mehrbaan Huwe Ho K Sar Maangte ho Tum, 

Tum ko Diya Tha Ghar Mein Thikaana NehaL Ne
Aaraam Paa Gaye Ho to Ghar Maangte ho Tum,

Hunar Mandi To Pathar Mein Bhi Gohar Dhoond Leti Hai Hamari Piyas Sehra MEIN SAMANDAR DHOONUrdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry,DH LETI HAI,


Hunar Mandi To Pathar Mein Bhi Gohar Dhoond Leti Hai 
Hamari Piyas Sehra MEIN SAMANDAR DHOONDH LETI HAI 


MOHABBAT JAB SHAHENSHAHON K MAHLON SE NIKALTI HAI 
KOI DARWESH YA KOI QALANDAR DHOONDH LETI HAI 

GULAABON KO TA'AARUF KI ZAROORAT HI NAHI HOTI 
HAMAARI FIKAR KHUD LAFZON KA PAIKAR DHOONDH LETI HAI 

AGAR-CHE ISHQ KA FAN HO TO KUCH BHI AIN-MUMKIN HAI 
MOHABBAT DASHT MEIN RANGEEN MANZAR DHOONDH LETI HAI 

NIGAAHON MEIN TALAB K SAATH JO TAASEER AA JAAYE 
CHARAAGHON MEIN ZIYA-e-MAAH-o-AKHTAR DHOONDH LETI HAI 

HUWA HOON MOTABAR JAB SE TIRI BAZM-e-MOHABBAT MEIN 
JAHAAN JAATA HOON WEERAANI MIRA GHAR DHOONDH LETI HAI 

ZEHAANAT KO JO MIL JAAYE RAH-NUMAAI TO 
BULANDI PAR PAHONCHNE K LIYE PAR DHOONDH LETI HAI

Chaand Lage Tere Hussn Pe Hain Chaar, Kar Deti Hai Teri Hussn Hai Laa Chaar, best Urdu Ghazal, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry,


Chaand Lage Tere Hussn Pe Hain Chaar
Kar Deti Hai Teri Hussn Hai Laa Chaar


Be-Wafaa Hote Hain Hussn Waale Baar
Aankhen Kar Deti Hain Aashiqon K Ashk Baar

Socha Hum Ne Bana Den Ik Baa-Wafa Yaar
Huwey Lekin Naa-Kaam Dhoondh K Saara Da Yaar

Kisi Tarah Aa Tu Mere Hasraton Ko Maar
Kar Dey Phir Merii Zindagii Ko Khaarij Se ShuMaar

Tanha Beth K Teri Yaad Mein Rote Hain Zaar 
Kar Reham ! Itne Na De TU Mujhe Aa-Zaar

Tere Bina Rahi Ye Zindagi Bus Taar
Hamaare Liye To Rahi Charrhaao Bhi U-Taar

Baha K Ashkein Aankhon Ne Maan Li Hai Haar
Lekin ! Terii Yaaad Ko Dil Ne Samjhaa Haii Ud-Haar

Monday, 5 May 2014

Jis ko Likhte Thay Kabi Jaan Say Pyare Jesa, Door Wo Aisa Hua Hai K Sitare Jesa, best Urdu Ghazal, Urdu Ghazal, Urdu Ghazal Sms, Urdu Image Poetry,


Jis ko Likhte Thay Kabi Jaan Say Pyare Jesa, 
Door Wo Aisa Hua Hai K Sitare Jesa, 


Es Kahani Main Kahin Tum To Nahin Ho Lekin, 
Hai Kahani Main Koi Or Tumhare Jesa. 

Jahan Milna Tha Wahan Tum Say Bicharna Para Hai, 
Ishq B Tum Ne Kiya Hum Say Guzare Jesa. 

Zakhm B Deta Hai Marham B Wohi Banta Hai, 
Wo Kinara B Nahin Karta Kinare Jesa, 

Zindagi Itni Khasare Main Rahi Hai Meri, 
Ab Mujy Nafah B Lagta Hai khasare Jesa, 

Tum Kehte Thay K Acha Hai Zamana Hum Say, 
Ye Btao K Mila hai Koi Humare Jesa

Sunday, 4 May 2014

What is love Is love pain when a person is gone Is love the smile or the butterflies in your stomach when a person is near


 What is love 
Is love pain when a person is gone 
Is love the smile or the butterflies in your stomach when a person is near 


is love the ups and downs when you don't see eye to eye 
is love the tears when you cry 

is love when you called and they don't answer the phone 
his love a marriage that one wrong 

is love the headache that you fail 
is love the lies that you tell 

is love anger when your mad 
is love selfish 

is love I don't care 
is love the gang that we play 

is love the time that we give someone that we can I get back 
is love to all the bad things will you fix it to make it last 

so I say through rain ,snow ,hell, earthquake the feeling that I have is everlasting 
so love is ups and downs that will keep you around 

Our blind eye is watching the events but only looking the other way,


Our blind eye is watching the events 
but only looking the other way, 


looking hard with our trusted blinds, 
looking at the mascaraed. 

our deaf ear to listen pretends 
as we brush away the finds, 

phony smiles meet us across the broken bridge 
and we smile back bewitched. 

the lightning strike is laughed at hard 
cause the clouds are over the ward, 

the thunder has to apologize and repent 
because we are here living in the present

Her certitude makes her different in crowd, as always inquisitive to know what, when&how,


Her certitude makes her different in crowd, 
as always inquisitive to know what, when&how, 


she has always a lot of things to share, 
not examined, hence can’t say about her dare. 

Very garrulous but liked by others, 
Not afraid, in any case, to move forward, 

Can’t hide, when she is sad, 
She is a theist; also respect her Mom & Dad. 

Very popular in friends, 
Straight forward to her aim, 

Never leave any reason to laugh, 
And it lasts till she puffed. 

Confidence in dialogues, but agile in attitude, 
True by heart, that account for her fortitude, 

Impudent towards some relations, 
Not known, so can’t say about her creations. 

Very cheerful, hence dearth of enemies, 
Very rich, as wealth of fantasies

Why can't you talk to me? Where are your words?


Why can't you talk to me? 
Where are your words? 


Stuck on the inside 
Really no use, 

Tell me your feelings, 
Angry or sad, 

They may be annoying, 
Make me feel bad, but 

When you can say to me 
What is inside, 

There are no secrets 
Nothing to hide, 

We need to speak freely, 
To say what needs said, 

So nothing can ever, 
Trouble our heads. 

          By Richard Smith

Inspired by a dear friend Written in Jamaican Patois, Betta shi did lik mi, dan bawl mek mi si,


Inspired by a dear friend. Written in Jamaican Patois. 
Betta shi did lik mi, dan bawl mek mi si, 


caah dem tears deh bruk mi haut 
an mek mi stawt fall apaut. 

If shi did lik mi, it wudn so hat, 
but shi deh bawl galang like seh shi naah tap. 

A my madda dat eehnuh, 
but nuh badda feel seh shi so-suh so. 

Mi rispek har to d max, 
a my madda dat. 

                                   By Semantic D'Moi

You have a gift, yet you seem to want more You may be a good writer, but you're not the best,


You have a gift, yet you seem to want more. 
You may be a good writer, but you're not the best.


The green virus cripples you, your work regresses. 
All negativity loves to have company.
With envy, comes greed, with greed comes depression.

The depression dominates because no matter what you do,
in your mind, you are not good enough.

Why should you be happy? Success only comes to the best.
Envy traps everyone, it disguises itself as motivation.
With you in it's clutches, it abandons its mask.

Envy can't stand to see you happy,
in it's mind, if you're happy, it loses.

Envy turns an even uglier shade of green,
when happiness is in your heart.
It's David versus Goliath, this time, David is being crushed.