Dil hijr ke dard se bojhal hai, ab aaan milo to behtar ho
Is baat se humko Kya matlab, yeh kaise ho yeh kyu kar ho
Ik bheek ke dono kaasay hain, ik pyaas ke dono pyase hain
Hum khaitee hain, tum badal ho,hum nadiya hain,tum saagar ho
Hum sanjh samay ki chhaya hain, tum charhti raat ke chandarmaan
Hum aate hain, tum jate ho, phir mel ki soorat kyu kar ho
Ab husn ka rutbaa aali hai, ab husn se sehra khali hai
Chal basti mein banjara ban, chal nagri me saudaagar ho
Jis cheez se tujhko nisbat hai,jis cheez se tujh ko chahat hai
Wo sona hai,wo heera hai, wo maati ho ya kunkar ho
Wo raatein chand ke saath gain, wo baatein chand ke sath gain
Us sukh k sapne dekhein kyun, jab dukh ka sooraj sar par ho
Ab ‘Insha Ji’ ko bulana kya, ab pyaar ke deep jalana kya??
Jab dhoop aur chhaaya aik se hon, jab din or raat barabar ho!
No comments:
Post a Comment