Har ek baat pe kehte ho tum K ‘tou kya hai’ ?
Tumhee kaho K yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?
Na sho’le mein yeh karishma na barq mein ye ada
koi bataao K woh shoKH-e-tund_Khou kya hai ?
Yeh rashk hai ki wo hota hai ham_sukhan tumse
Wagarna Khauf-e-bad_aamozi-e-adou kya hai ?
Chipak raha hai badan par lahou se pairaahan
Hamaari jeb ko ab haajat-e-rafou kya hai ?
Jalaa hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjou kya hai ?
Ragon mein daurte phirne ke ham nahe qaayal
Jab aankh hi se na Tapka to phir lahou kya hai ?
Woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
Siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkabou kya hai ?
Piyoon sharaab agar Khum bhi dekh loon do chaar
Yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?
Rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
To kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?
Bana hai shaah ka musaahib, phire hai itraata
Wagarna shahar mein ‘Ghalib’ keh aabrou kya hai ?
(By: Mirza Ghalib)
No comments:
Post a Comment