Zikr-e-shab-e-firaq se vahshat use bhi thi
Meri tarah kisi se mohabbat use bhi thi
Mujh ko bhi shauq tha nae chehron ki deed ka
Rasta badal ke chalne ki aadat use bhi thi
is raat der tak vo raha mahv-e-guftugu
masroof main bhi kam tha faraġhat use bhi thi
mujh se bichhad ke shahr mei ghul-mil gaya vo shaḳhs
hālāñki shahr-bhar se adāvat use bhī thī
vo mujh se badh ke zabt kā aadī thā jī gayā
varna har ek saañs qayāmat use bhī thī
suntā thā vo bhī sab se purānī kahāniyāñ
shāyad rafāqatoñ kī zarūrat use bhī thī
tanhā huā safar meñ to mujh pe khulā ye bhed
saa.e se pyaar dhuup se nafrat use bhī thī
'mohsin' maiñ us se kah na sakā yuuñ bhī haal dil
darpesh ek taaza musībat use bhī thī
No comments:
Post a Comment