Sunday, 19 August 2018

Zikr-e-shab-e-firaq se vahshat use bhi thi, Meri tarah kisi se mohabbat use bhi thi, Mujh ko bhi shauq tha na.e chehron ki diid ka, Rasta badal ke chalne ki aadat use bhi thi, by mohsin, urdu best ghazal, best romantic ghazal


Zikr-e-shab-e-firaq se vahshat use bhi thi
Meri tarah kisi se mohabbat use bhi thi 


Mujh ko bhi shauq tha nae chehron ki deed ka 
Rasta badal ke chalne ki aadat use bhi thi 

is raat der tak vo raha mahv-e-guftugu 
masroof main bhi kam tha faraġhat use bhi thi 

mujh se bichhad ke shahr mei ghul-mil gaya vo shaḳhs 
hālāñki shahr-bhar se adāvat use bhī thī 

vo mujh se badh ke zabt kā aadī thā jī gayā 
varna har ek saañs qayāmat use bhī thī 

suntā thā vo bhī sab se purānī kahāniyāñ 
shāyad rafāqatoñ kī zarūrat use bhī thī 

tanhā huā safar meñ to mujh pe khulā ye bhed 
saa.e se pyaar dhuup se nafrat use bhī thī 

'mohsin' maiñ us se kah na sakā yuuñ bhī haal dil 
darpesh ek taaza musībat use bhī thī