Dost ban kar bhi nahi sath nibhane wala
Wohi andaz hay zalim ka zamane wala
Ab usay log samjhte hain giraftar mera
Sakht naadim hay mujhe daam main lane wala
Subah dam choRR geya nikhat-e-gull ki surat
Raat ko guncha-e-dil may simatt aane wala
Kya kahen kitne marasim they hamare us se
Wo jo ik shakhss hai muh phair kay jaane wala
Tere hote huye aa jati thi sari dunia
Ajj tanha hoon to koi nahi aane wala
Muntazir kiss ka hoon tooti hoi dehleez pe main
Kon aye ga yahan, kon hai aane wala
Kya khabar thi jo meri jaan may ghulla hay itna
Hay wohi mujh ko sar-e-daar bhi laane wala
Main ne dekha hay baharon may chaman ko jalte
Hai koi khawb ki tabeer batane wala
Tum takaluf ko bhi ikhlaas samjhte ho Faraz
Dost hota nahi har hath milane wala
No comments:
Post a Comment