Main aarhy tirchy khayal sochun
K byirada kitab likhun
Koi shanasa ghazal tarashun
K ajnabi intsab likhun
Ganwa dun aik umar k zamany
K aik pal hisab likhun
Meri tabyat py munhasir hai
Main jis tarah ka nisab likhun
Ye mery apny mizaj pr hai
Azab sochun sawab likhun
Taweel tar hai safar tumhn kya?
main jee raha hun magar tumhn kya?
Magar tumhn kya k tum tu kab sy
Mery irady ganwa chuky ho
jala k sary haroof apny
Meri duaen bujha chuky ho
Main raat orhun k subah pehnun
Tum apni rasmen utha chuky ho
Suna hai sab kuch bhula chuky ho
Tu ab mery dil py jabar kesa?
Ye dil tu hadd sy guzar chuka hai
Guzar chuka hai magar tumhn kya?
Khizan ka mausum tehar chuka hai
Tehar chuka hai magar tumhn kya?
Maggar tumhn kya k is khizan main
main jis tarah k bhi khawab likhun
No comments:
Post a Comment