Saturday, 28 May 2016
Main aarhy tirchy khayal sochun K byirada kitab likhun, Koi shanasa ghazal tarashun, K ajnabi intsab likhun, poetry by Kainat Ateeq
Main aarhy tirchy khayal sochun
K byirada kitab likhun
Koi shanasa ghazal tarashun
K ajnabi intsab likhun
Ganwa dun aik umar k zamany
K aik pal hisab likhun
Meri tabyat py munhasir hai
Main jis tarah ka nisab likhun
Ye mery apny mizaj pr hai
Azab sochun sawab likhun
Taweel tar hai safar tumhn kya?
main jee raha hun magar tumhn kya?
Magar tumhn kya k tum tu kab sy
Mery irady ganwa chuky ho
jala k sary haroof apny
Meri duaen bujha chuky ho
Main raat orhun k subah pehnun
Tum apni rasmen utha chuky ho
Suna hai sab kuch bhula chuky ho
Tu ab mery dil py jabar kesa?
Ye dil tu hadd sy guzar chuka hai
Guzar chuka hai magar tumhn kya?
Khizan ka mausum tehar chuka hai
Tehar chuka hai magar tumhn kya?
Maggar tumhn kya k is khizan main
main jis tarah k bhi khawab likhun
Thursday, 26 May 2016
Kal halki halki barish thi Kal sard hawa ka raks bhi tha Kal phool bhi khusboo se mehka mehka tha Kal un mein ap ka aks bhi tha, urdu poetry, urdu shairy, barish poetry, rain poetry,
Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raks bhi tha
Kal phool bhi khusboo se mehka mehka tha
Kal un mein ap ka aks bhi tha
Kal badal gehre gehre the
Kal yaadein uljhi uljhi thin,
Aur
Kal yaad buhat tum aye the
Kal yaad buhat tum aye the..!!
Tuesday, 3 May 2016
Meri Zindagi To Firaaq Hai, Wo Azal Se Dil Main Makeen Sahi Wo Nigaah-E-Shauq Se Door Hain, Rag-E-Jaan Se Laakh Qareen Sahi
Meri Zindagi To Firaaq Hai, Wo Azal Se Dil Main Makeen Sahi
Wo Nigaah-E-Shauq Se Door Hain, Rag-E-Jaan Se Laakh Qareen Sahi
Hamain Jaan Deni Hai Aik Din, Wo Kisi Tarah Wo Kaheen Sahi
Hamain Aap Khainchiye Daar Par, Jo Nahin Koi To Hameen Sahi
Sar-E-Toor Ho, Sar-E-Hashr Ho, Hamain Intezaar Qabool Hai
Wo Kabhi Milen,Wo Kahin Milen,Wo Kabhi Sahi, Wo Kaheen Sahi
Na Ho Un Pe Kuchh Mera Bass Nahin, Ke Ye Aashqi Hai Hawas Nahin
Main Unhi Ka Tha, Main Unhi Ka Hun, Wo Mere Nahin, To Nahin Sahi
Mujhe Bhaithne Ki Jagah Milay, Meri Aarzoo Ka Bharam Rahay
Teri Anjuman Men Agar Nahin, Teri Anjuman Ke Qareen Sahi
Tera Dar To Hum Ko Na Mil Saka, Teri Rahguzar Ki Zameen Sahi
Hamain Sajda Karne Se Kaam Hai, Jo Wahan Nahin To Yaheen Sahi
Meri Zindagi Ka Naseeb Hai, Nahin Door Mujh Se Qareeb Hai
Mujhe Uska Gham To Naseeb Hai, Wo Agar Nahin To Naheen Sahi
Jo Ho Faislaa Woh Sunaaiye, Use Hashr Par Na Uthaaiye
Jo Karainge Aap Sitam Wahan, Wo Abhi Sahi, Wo Yaheen Sahi
Unhen Dekhne Ki Jo Lou Lagi, To 'Naseer' Dekh Hi Lainge Hum
Wo Hazaar Aankh Se Door Hon, Wo Hazaar Pardah Nasheen Sahi
Subscribe to:
Posts (Atom)