Ek bohot hi maynikhez Ghazal jis me kayi ishaare kiye gaye hein...
ek naakaam koshish lafzon mein awaam ka dard bayaan karne ki...
Kaam ke jitney bhi thay bekaar ho gaye
Marz-e-hirs-e-dolat mein sab beemaar ho gaye
Ehl-e-sheher ko lag gayi hai jane ye kesi hawa
Is siyaasi mahol mein sab makkaar ho gaye
Maang Maang ke jo guzara karte the aksar paish’tar
Saail sheher ke wo ab bade khariddaar ho gaye
Aaj wo jin par hazaron qatl ke ilzaam hain
Jane kese khilaafat e mulk ke haqdaar ho gaye.
Girgat ki misl fitrat wale ye siyaasatdaan
raaey-dehi me awaam sab ke ghamgusaar ho gaye
Safed posh bhi parde mein karte rahe fareb
Zaahir hue jab jurm to sab me khwaar ho gaye
Saari umr jo karte rahe makr-o-jhuth ke dhandhe (kaar-o-baar)
Khaaki kya pehni shurafaa me shumaar ho gaye
Muflisi mein shams ka dekha jo sabne sabr to
Jaane aur kitne hi bashar khuddaar ho gaye.
No comments:
Post a Comment