Dard kay maron pe hansta hai zamana be'khabar
Zakham-e-hasti ki kasak se hai nishana be'khabar
Nikhaton kay saye main tootay paray hain chand phool
Bijliyon ki yo'rashon se Aashiyana be'khabar
Husan-e-barham ko nahin haal-e-parishaan se gharz
Saaz-e-dil ki dharkano se zamana be'khabar
Hum qaraar-e-dil nahin hain , hum nahin aankhon ka noor
Hum sa awara kiyon hota hai , thikana be'khabar
Dono aalam wusat-e-aagosh ki tafseer hain
Dekhnay main hai nigah-e-mehar'mana be'khabar
Aap apnay fun se na'waqif hai Saghar ki nazar
Lal-o-gohar ki ziaon se khazana be'khabar