Jab tera hukm mila tark-e-mohabbat kardi
Dil magar is pe vo dharka ki qayamat kardi
Tujhse kis tarah main izhar-e-tamanna karta
Lafz sujha to muani ne baghavat kardi
Main to samjha tha keh Laut aate hain jaane vaale
Tu ne jakar to judaai meri qismat kardi
Tujh ko puuja hai, kii asnam-parasti ki hai
Main ne vahdat ke mafahim ki kasrat kardi
Mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyaar aata hai
Teri ulfat ne mohabbat meri aadat kardi
Pouchh baitha huun main tujh se tere kooche ka pata
Tere halat ne kaisi teri surat kardi
Kya tera jism tere husn ki hiddat mein jala
Raakh kis ne tere sone ki si rangat kardi