Tum nahi aae thay jab tab bhi to maujood thay tum
Aankh mein nuur ki aur dil mein lahu ki surat
Dard ki lau ki tarah pyaar ki khushbu ki tarah
Bevafa vadon ki dildari ka andaaz liye
Bevafa vadon ki dildari ka andaaz liye
Tum nahi aae thay jab tab bhi to tum aae thay
Raat ke seenay mein mahtab ke khanjar ki tarah
Subh ke haath mein khursheed ke saghar ki tarah
Shakh-e-Khun-rang-e-tamanna mein gul-e-tar ki tarah
Tum nahi aaoge jab tab bhi to tum aaoge
Yaad ki tarah dharakte hue dil ki surat
Ghum ke paimana-e-sar-shar ko chhalkate hue
Barg-ha-lab-o-rukhsar ko mahkate hue
Dil ke bujhte hue angare ko dahkate hue
Zulf-dar-zulf bikhar jaega phir raat ka rang
Shab-e-tanhai mein bhi lutf-e-mulaqat ka rang
Roz laegi saba ku-e-sabahat se payam
Roz gaegi sahar tahniyat-e-jashn-e-firaq
Aao aane ki karein batein ki tum aae ho