Aey dil pehle bhi tanha thay, Aey dil ham tanha aaj bhi hain
Aur un zakhmon aur daghon se ab apni batein hoti hain
Jo zakhm ke surkh gulab hue, jo daagh ke badar-e-munir hue
Is tarha se kab tak jiina hai, main haar gaya is jeene se
Koi abr Ude kisi qulzum se ras barse mire virane par
koi jagta ho koi kudhta ho mire der se vapas aane par
Koi saans bhare mire pahlu mein koi haath dhare mire shane par
Aur dabe dabe lehje mein kahe tum ne ab tak bade dard sahe
Tum tanha tanha jalte rahe tum tanha tanha chalte rahe
Suno tanha chalna khel nahin, chalo aao mire ham-rah chalo