Monday, 30 December 2019
Jante ho Mohabat kya hai? Apne qeemti waqt ke kuch lamhe kisi ko de dena, kisi ki sn lena
Jante ho Mohabat kya hai?
Saturday, 7 December 2019
Andhiyan gham ki chalin aur karb badal chha gae, Tujh se kaise ho milan sab raste dhundla gae, urdu ghzal, urdu poetry by urooj,
Andhiyan gham ki chalin aur karb badal chha gae
Tujh se kaise ho milan sab raste dhundla gae
Kirchi kirchi khvahishen ankhon men chubh kar rah gaiin
Zard mausam aas ki hariyaliyon ko kha gae
Main ki jis ne har saubat muskura kar jhel li
Manzilen aaiin to kyuun ankhon men aansu aa gae
Tere na aane ke dukh men shiddaten phulou ne kiin
Waqt se pehle hi sab gajre mire murjha gae
Qaht jazbon ka pada veeran se hain dil ke nagar
shahr par aaseb shayad hijr ke manDla gae
Daava chahat ka nahin par jab use socha 'urūj'
Phuul Khushbu rang taare aankh men lahra gae
Monday, 2 December 2019
Aey mohabbat tere anjam pe rona aaya, Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya, best urdu ghazal, urdu poetry, heart touching poetry,
Aey mohabbat tere anjam pe rona aaya
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya
Yuun to har shaam umeedon mein guzar jaati hai
Aaj kuchh baat hai jo shaam pe rona aaya
Kabhi taqdir ka matam kabhi dunya ka gila
Manzil-e-ishq mein har gaam pe rona aaya
Mujh pe hee khatm hua silsila-e-nauhagari
Is qadar gardish-e-ayyam pe rona aaya
Jab hua zikr zamane mein mohabbat ka
Mujh ko apne dil-e-nakam pe rona aaya
Subscribe to:
Posts (Atom)