Sunday, 2 June 2019

Koi shikva to zer-e-lab hoga, kuch KhamoshI ka bhi sabab hoga, mai bhi huun bazm mein raqib bhi hai, Akhiri faisla to ab hoga, by Mirza Ghalib, best urdu ghazal, best urdu poetry, sad urdu ghazal


Koi shikva to zer-e-lab hoga
kuch KhamoshI ka bhi sabab hoga 


mai bhi huun bazm mein raqib bhi hai 
Akhiri faisla to ab hoga 

aaien mai-Khane mein kabhi vaaiz 
huur bhi hogi aur sab hoga 

bol aai mere dil ki tareeki 
tera suraj toluu kab hoga 

sunta hoga sadaaien us dil ki 
sham-e-tanhaai mein vo jab hoga 

kab chhatengi ye badliyaan ġham ki
saaf matlaa ye 'JOSH' kab hoga 

Rasta sochte rahne se kidhar banta hai, chale chaliye keh chalna hi daleel-e-kamrani hai, kabhi sahar to kabhi shaam le gaya mujhse, mix plate shairi, urdu mix poetry,


Mix Plate
Rasta sochte rahne se kidhar banta hai 
sar mein sauda ho to deevar mein dar banta hai 

chale chaliye keh chalna hi daleel-e-kamrani hai 
jo thak kar baith jaate hain vo manzil paa nahi sakte

kabhi sahar to kabhi shaam le gaya mujhse 
tumhara dard kai kaam le gaya mujhse