Ek sitaraa sa badan dehaan me hai
Ek dil aawez sadaa kaan me hai
Hijr ki raat me kuchh neend bhi ho
Wasl ka khaab to imkaan me hai
Zindagi tujh se muzaiyyan thi kabhi
Ab to shayad ye bayaabaan me hai
Teri sairaabi – e – jaaN par laa’nat
Jo mere qatl ke aelaan me hai
Tujh ko paaye hue muddat guzri
Phir talab kya dil e naadaan me hai
Gham k maaron ka pata kaun kare
Shahr tera hai, tere dehaan me hai